Skip to main content

Kehtay Ho: "Na Den Ge Hum, Dil Agar Para Paaya"

Kehtay Ho: "Na Den Ge Hum, Dil Agar Para Paaya"
Dil Kahaan Ke Gum Keejay, Hum Ne Muddua Paaya

Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Maza Paaya
Dard Ki Dawa Paayi, Dard Be-Dawa Paaya

Dost Daar E Dushman Hai, Aitmaad E Dil Maaloom
Aah Be-Asar Dekhi, Naala Narasa Paaya

Saadgi O Purkaari, Be-Khoodi O Hushyaari
Husn Ko Taghaaful Mein Jurrat Aazma Paaya

Ghuncha Phir Laga Khilnay, Aaj Hum Ne Apna Dil
Khoon Kiya Hua Dekha, Gum Kiya Hua Paaya

Haal E Dil Nahin Maaloom, Lekin Is Qadar Yaani
Hum Ne Baarha Dhoonda, Tum Ne Baarha Paaya

Shor E Pand E Naasah Ne Zakhm Par Namak Chhirka
Aap Se Koi Poochhay: Tum Ne Kya Maza Paaya