lamha-lamha hai baare-garaaN, bachaa lo mujhko
bekaraaN waqt ke malbe se nikaalo mujhko
Khushk patta hii sahii, rauNd ke aage na baRho
maiN gaii rut kii nishaani hooN uThaalo mujhko
Khud_pasaNdi kii KhalaaoN meN phirooN aavaara
is bulaNdi pe to yaaro na uchhaalo mujhko
maiN rafaaqat kii ghaTa ban ke baras jaaooN
apnii tanhaaii ke saHraa meN bulaa lo mujhko
bhaagatii bhiiRh ne jaane kise paamaal kiyaa
chiiKh kar ko_ii pukaara thaa, bachaa lo mujhko
shab-e-taariiq ka pur_haul safar hai ''Sabir''
shamm-e-maNzil hooN, sar-e-raah jalaa lo mujhko