Skip to main content

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,




Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,
Jahaan Bajte Hain Naq'qaare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain,


Gile Shikwe Kahaan Tak Hon Ge Aadhi Raat To Guzri,
Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain,


Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai,
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain


Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh,
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain,


Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahi Mit'ti,
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain ...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.