Skip to main content

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin
Tumhari Nazron Se Lagta Tha Jaise Meri Bajaye
Tumhare Ghar Main Koi Aur Shakhs Aya Hai
Tumhare Ohad Ki Denen Tumhen Mubarak

So Tum Ne Mera Swagat Usi Tarah Se Kiya
Jo Afsaran-E-Hukumat K Aitaqad Main Hai
Takallufan Mere Nazdik A K Baith Gaye
Phir Ehtamam Se Mausam Ka Zikr Cher Diya

Kuch Us K Bad Siyasat Ki Bat Bhi Nikli
Adab Par Bhi Koi Do Char Tabsare Faramaye
Magar Na Tum Ne Hamesha Ki Tarah Ye Pucha
Kya Waqt Kaisa Guzarta Hai Tera Jan-E-Hayat

Pahar Din Ki Aziyat Main Kitni Shiddat Hai
Ujar Rat Ki Tanhai Kya Qayamat Hai
Shabon Ki Sust Rawi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai
Gam-E-Firaq K Qisse Nishat-E-Wasl Ka Zikr
Rawayatan Hi Sahi Koi Bat To Karte

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng