Skip to main content

Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,




Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,
Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal,
Ek Khuwaab Kaan_Yela Phool Khilay,
Wo Phool Bahaa Dein Lehron Mein
Ek Roz Kabhi Hum Shaam Dhalay,
Us Phool K Behtay Rangon Mein,
Jis Waqt Larazta Chaand Chalay !
Us Waqt Kaheen In Aankhon Mein us Bisray Pal Ki Yaad To Ho
Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,
Phir Chahey Umer Samundar Ki
Har Mouj Pareshaan Ho Jaye
Phir Chahey Aankh Dareechay Ki
Har Khuwaab Gurezaa'n Ho Jaye
Phir Chahey Phool K Chehrey Ka
Har Dard Numaayaa'n Ho Jaye
Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal Wo Roop_Nagar Ejaad To Ho
Din Raat Us Aaeenay Say Wo Aks Kabhi Azaad To Ho
Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho ...

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng