Aankhon Mein Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun

Aankhon Mein Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun
Uljhay Hoay Paloo Say Girah Khol Rahi Hun


Woh Aay Khareeday Mughay Pinjray Mein Bitha Day
Mein Bhaag Mein Kisi Mayna Ki Tarah Bol Rahi Hun


Hur Baar Hoa Hay Meray Nuqsaan Ka Sauda
Kehnay Ko Hamaysha Say Mein Anmol Rahi Hun