Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2012

Dua for New Year

Woh Jo Haal Tha Wohi Haal Hai

Woh Jo Haal Tha Wohi Haal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Zindagi Keh Wabaal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Bay_Yaqeeni Hai Koo_Ba_Koo Wohi Na_Umeedi Hai Chaar Soo,, Jo Bhi Hai Srapaa Sawaal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Dast_o_Paa Wohi Chashm_o_Lab Jo Gahin Mein Thay Woh Gahin Mein Hain,, Wohi Hossloon Jiss Pay Zawaal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Intashaar C Zindagi Hai Wohi Ghubaar C Zindagi,, Wohi Saans Laina Mahaal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Phool Phool Pe **'taliyaan Hain Darri Howi K Marri Howi,, Wohi Bay_Hissi Keh Misaal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,, Wohi Khawab Hain Keh Azaab Hain Wohi Roz_o_Shab Keh Saraab Hain,, Wohi Gardish Ay Mahh_o_Saal Hai Kahon Kis Trah Naya Saal Hai..
Usay kehna Usay kehna kitabooN main rakhay sookhay hoay kuch phool Us kay loot aanay ka yaqeen ab talak dilatay haiN Usay kehna kay us ki jheel si aankhaiN kisi manzer pay cha jaiN To sab manzer younhi phir bheeg jatay haiN Usay kehna thandi baraf per koi kisi kay sath chalta hai To qadmooN kay nishan phir say usi kay loot aanay kay nishaN dil per banatay haiN Usay kehna keh us ki bheegti aankhooN ka wo aansoo Sitaray ki trha ab bhi humaiN shab bhar jagata hai Usay kehna keh barish khirkiyooN pay us k aansoo paint kerti hai Usi ka naam likhti hai Usay hi gungunati hai Usay kehna keh khushboo, chandni, taray, saba, rastay, ghata, kajal Mohobbat, chandni, shabnam, hawa'aiN, raat, din, badal Sabhi naraz haiN hum say Usay kehna judai kay darakhtooN per jo sookhi tehniyaaN haiN Baraf ki chader Ki zad maiN haiN Or un shakhooN pay yadooN kay Jo patay thay sunehri ho gay haiN Usay kehna december soo gaya hai Or yakhbasta wo bheegi january phir loat aai hai Usay keh

chalo zindagi may ik baar phir naya saal aaya

chalo zindagi may ik baar phir naya saal aaya  pata nahee meri zindagi ka urooj ya zawal aaya kis ki chaahat may guzar gaya yeh poora saal mera  anjaanay say maray dil mein ik shakhs ka kheyal aya kisi kay dil may aayee hogi aarzo marnay ki bhi  magar meri laboo pay khuda say jeenay ka sawal aaya kafi nahee tha ronay kaliay guzra hua saal  kay ab us ki yaad mein ronay ke liay ik aur saal aya gham mat karo chalti rahay gi aisay hi yeh dunya Magar nikal  na  saka  jo is dil mein ik bar aaya

Naye SaaL ki

Naye SaaL ki  Pehli Kiran !  Jab tum us k darwazay per dastak do  To itna usay kehna  K intizar k deep jalaye  Sirf Tumhain yaad rakhay  Aur baqi sab bhulaye  Koye ab bhi Aas ka daaman thamay  Tumahri Raah Tak Raha Hay....!!!

Nahin Ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka  Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka  Phir aa gaya aik naya sal dosto...  Is bar bi kisi say december nahin ruka  Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt  Aisa safar kia k kahin per nahin ruka  Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya  Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka  Chalta raha adoo ki safin rondta howa  Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka  Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya  Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka 

jab bhi sochoon tujhe

jab bhi sochoon tujhe dard apna barha leta hoon  phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leta hoon mah december ki sard raatoon ke waadey yaad karke  thorey thorey ashk ankhoon se apni baha leta hoon  kabhi jo ankhoon main terey ashk dekhoon  khuwab ban ke woh tamam ashk chura leta hoon yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri  ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leta hoon jab bhi koi ghazal terey naam likhoon  batein likhta hoon tamam magar tera naam chupa leta hoon  na samjha tu ne mujhe aur na hi mayri mohabbat ko aey dost  naya saal mubarak khush rehne ki tujhe dua deta hoon 

Phir Aik Saal

Phir Aik Saal Beet gaya Magar tum nahin aaye Aaisa na ho k Naya Saal bhi yon hi beet jaye Meri ummeden so jayen aur zindigi ki lo thartharanay lagay Tum Lot aao Dekho koye tumhain kitna yaad karta hay Lekin mujhe maloom hay k tum nahin aao gay Ye mosam yon hi guzar jaye ga Kyon k tum kisi Aur ki Zindigi ho Main to bas yon hi apna dil behlanay ko tumahin pukarti hon K SHAYED......!!!!!

Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna!!!!

Ab Ke Saal Kuch Aisa Kerna!!!!!! Apney Pichley Barah Mah Ke Dukh Sukh Ka Andaza Kerna Guzri Yadien Taza Kerna Sadah Sa Ik Kaghz Le Ker Bhuley Basrey Pel Likh Laina Apney Sarey Kal Likh Laina Phir Us Beetey Ik Ik Pel Ka Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka Ik Ik More Ka Ahatah Kerna Sarey Dost Ikathey Kerna Sari Subhey Khazir Rakhna Sari Shamey Pass Bulana Or Ailawa In Ke Dekhoo Sarey Mosam Deehan Mai Rakhna Ik Ik Yad Guman Mai Rakhna Phir Muhtat Qayass Lagana Ger To Khushiya Bher Jati Hai To Phir Tum Ko Meri Taraf Se " Aney Wala Saal Mubarak " Aor Ager Ghum Bher Jay To Mat Bekar Takaluf Kerna Dekhoo Phir Tum Aisa Kerna Meri Khushiya Tum Le Laina Mujh Ko Apney Ghum De Dena Ab Ke Saal Kuch Aisa Kerna!!!!

Naye Saal Ka Suraj !

Jab Bhi Sochoon Tujhe Dard Apna Barha Leta Hoon Phir Har Naye Saal Ka Suraj Dekh Kar Muskura Leta Hoon, Main December Ki Sard Raton K Wady Yaad Kar K Thory Thory Ashk Ankhon Se Apni Baha Leta Hoon, Kabhi Jo Ankhon Maen Tere Ashk Dekhoon Khuwab Ban K Woh Tamam Ashk Chura Leta Hoon, Yeh Adat To Husn-O-Wafa K Qayel Janty Hain Meri Keh " Piyar Mily Jahan Bhi Sir Apna Jhuka Leta Hoon, Jab Bhi Koi Ghazal Tere Naam Likhoon Batein Likhta Hoon Tamam Magar Tera Naam Chupa Leta Hoon, Na Samjha Tu Ne Mujhe " Aor Na He Meri Muhabbat Ko Ay Dost Naya Saal Mubarak " Khush Rehny Ki Tujhe Dua Deta Hoon !

Dua

new year

Aye naye saal

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..? Har taraf khalq ne kiyun shor mcha rakha hai, Roshni din ki wohi, Taron bhari rat wohi, Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi, Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen, Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi, Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere, Kise maloom nahi 12 maheene tere, Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein, Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein, Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai WaRNa in aankhon ne deikhe hain naye saal kai… 

Naya Saal Naii Umeed

Reshmi Dorr Ki Tarah - Haath Se Phisalta Hua Yeh Saal Guzarta Ja Raha Hai Guzarte Is Saal Se Hisaab Kuch Lena Hai - Zakhm Jo Diye Hain Is Ne Un Ka Marham Poochna Hai…!!! Jo Kho Diya, Ussey Paaen Kahan Yaadon Ko Saari, Dafnaaen Kahan Aagahii apni Sulaaen Kahan Yaa Youn Kar Len Rootha Pichla Saal Bhula Kar Aane Wale Naye Saal Se Dosti Kar Len

Naya Saal

Es Naye Saal Ki Pehli Subha Jab Tumhare Nain Khulein Es Naye Saal Ki Pehli Ghari Jab Tumhare Hath Uthein Es Naye Saal Ki Pehli Khushi Jab Tumhare Gale Lage Es Saal Ka Pehla Hath Jab Tumhari Simt Barhe Es Naye Saal Ki Pehli Soch Jo Tumhare Jeevan Mein Nikhar Laye To Itnaa Jaan Lena Ke Koi Or Hath Bhi Tumhare Liye Uthe Zaroor Hain Jis Ke Dil Se Bhi Yehi Dua Nikli Hai Woh Nain Hamesha Khushiyaan Dekhen Woh Mangi Dua Pori Ho Jaye Woh Gum Door Kahin Bathakte Milen Woh Sath Wo Hat Kabhi Gum Se Nahin Choote Woh Soch Tumhare Muqaddar Ko Hamesha Urooh Phunchaye To Kuch Hamare Bare Mein Soch Lena Keh Koi Hai Jo Na Jane Kab Se Tumhare Bare Mein Barsoon Se Soch Raha Hai Han In Aate Jate Saloon Haseen Sooraj Ke Nikalne To Kahin Shaam Ke Dhalne Mein Har Pal Haseen Lamhon Mein Tumhein Koi Soch Raha Hai Tumhein Koi Soch Raha Hai

New Year Poetry

us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai

us ada say bhi hoon ashna tuje itna jis pay garoor hai main jiyu ga tere bagair bhi muje zindagi ka shaoor hai na hawas hai mujh mein janab ki,na talab saba-o-shabab ki teri chashm-e-naz ki hair ho,muje bin piye hi saroor hai joh samjh liya tuje bewafa to is mein teri bhi kiya khata yeh hayal hai meray dimag ka,yeh meri nazr ka qasoor hai main nikal kay bhi teray daam say na giroo ga apnay muqaam say main Qateel-e-joro sitam sahi muje tum say 'ISHQ' zaroor hai! ! ! !

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay Guzrun Jo Os Ki Gali Se Tou Thandi Hawa Lagay Mehmaan Ban Ke Aaye Agar Kisi Roz Wo Shakhs Is Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lagay Mein Is Lye Manaata Nahi Vasl Ki Khushi Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Dua Lagay Wo Qehat Dosti Ka Parra Hai Ke In Dinon Jo Muskura Ke Baat Karay Aashna Lagay Tark-e-Wafaa Ke Baad Ye Oski Adaa “Qateel” Mujh Ko Sataaye Koi Tou Osko Bura Lagay

Ajab pagal si larki hai

Ajab pagal si larki hai mujhe har khat main likhti hai tumhain main yaad aati hoon? mujhe tum yaad karte ho? meri baatain satati hai? meri neendain jagateen hai? meri aankhain rulaati hai? DECEMBER ki sunehri dhoop main ab bhi par thelta ho kisi khamosh raastey sa koi awaz aati hai? Tharthati sard ratoon main tum ab bhi chat par jata ho? kitaboo se tumhare ishq main koi kami aaye? Ya meri yaad ki shidat sa aankhon main nami aaye? Ajab pagal si larki hai mujhe har khat main likhti hai Jawaban usko likhta hoon meri masroofiat to daikho suba sa shaam office main chiraag-e-umar jalta hai phir uska baad khaee majbooryan paoo main bairi daal rakhti hai Mujhay bay-fikar, chahat se bara sapna nahi daikta Thelnay,jagna,sonay ki mohalat hee nahi miltee Sitaroon se mila arsa hoa..........naraz hai shayad Kitaboo se shahgaf ab bhi qayam hai farq itna para hai ab unha arsa main parta hoon Tumahain kis na kaha PAGLI tumhain main yaad karta hoon Ke main khud k

December Ki Thitherti Aik Shab

December Ki Thitherti Aik Shab December ki thitherti aik shab woh merey pass ayi Mujhay kehnay lagi k Aaj sub kuch chor ayi hoon Tumharay pyar main saray hi rishtay tor ayi hoon Woh ghabrayi hui Tooti hui Bhikri hui larki Mujhay kehnay lagi Utho!Yahan say door chaltay hain Bohat hi door chaltay hain Tumharay bin kisi sooret mujhay zinda nahi rehna Mujhay zinda nahi rehna Mujhay zinda nahi rehna Woh zaro zaar ro di Aur phir mujh main simath ayi Woh apnay ansoo'on say bus yahi faryaad karti thi Chalo jaldi karo Iss sheher say hum bhag chaltay hain Bohat hi door chaltay hain Us ik saaet Yeh mein nay baar_ha socha K us k kahay per sar jhuka doon main Yeh socha baar_ha Us ko bhaga kar door lay jaoon Woh ik tooti hui larki Woh meray pyar main mehki hui masoom si larki Mere seenay say lag ker dair tek rooti rahi uss shab Woh iss ehsas main gum thi K manzil mil gayi uss ko Mere khamosh chehray ki taraf woh dekhti Bus dekhti jati Us ik saet merey under kayi toofan barpa thay

DECEMBER JA RAHA HAI

DECEMBER JA RAHA HAI Use kehna December ja raha hai!! December kay guzarte hi, bars aik aor maazi ki jafaun main doob jaye ga, Use Kehna!! December kay guzernay say zara pehle, Muhabbat ki kahani ko koi takmeel dey jana, Usey Kehna!! December ka Maheena jaisay guzre ga, Umeedain Doob jayein gi, Wo Sapnay toot jayein gay, Usey Kehna!!! December kay guzarnay say zara pehley Mohabbat ko koi tabeer day jaye, Usey Kehna!! Mukadar ko hamaray doob janay say bacha lena, Usey Kehna!! Decemebr Ja raha hai!!!

! December ....ab bhi Tera muntazir Hay .!

! December ....ab bhi Tera muntazir Hay .! woh Lamhay............ Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain ! December K mahenay main Hazaroon Saal Pahlay Jab Teray Waday K Honatoon Ne meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay ! meri Bayrang Batoon K Kinaray Tum Nay Kwabon K Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay ! aur ....... Hawa Ko apni Chahat Ki Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa ! Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian ! Sama'at ....ab Bhee Teray Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay ! Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay! Nigahain Baraf K Phelay chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay ! Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop Tera Bagair rooti Hay Kahan Hota Hay Too....... Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay December .... ab Bhe Tera muntazir Hay !!

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay Guzarti saa'atoo ke dhundelkay Aur Palkoon pe yadoo ke sitaaray Pal bhar ko yun laga jaisay Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech Wakt tham sa gaya ho jaisay Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye Madham hogaya ho jaisay Aur jo dariya muhabbatoon ka tha Ab utar gaya ho jaisay Aakhri shaam ka doobta suraj Kuch keh raha ho jaisay Un chaahatoon ka suraj bhi Doob raha ho jaisay Magar ab dil mein yaadoon ke siwa Aur aankh mein aanso'oon ke siwa Aur bacha hi kya hai Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa Haan, magar ab tak yaad hai Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa Aur... woh bhi December ki aakhri sard shaam thee Jab us ne dheeray se kaha thaa "Naya Saal Mubarak"... !!!

Chalo khatam hoi ajj se dastaan-e-mohabbat

Chalo khatam hoi ajj se dastaan-e-mohabbat Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda karte hain Chalo ajj se hum chahat k zanda'n main muqeed huye Teri yaad k sehra main dard-e-maazi ki wa'eed huye Chalo ab kitaab-e-zeest se auraq-e-wafa palat'te hain K ab hum "wafa" ko jafa likhainge , saza likhainge K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat Tere bakhse hue azaab-e-tanhai se kerte hain Chalo ab teri mohabbat ki umar qaid muqaddar hoi k hum ko wafa nibhane ki saza to milni thi Chalo ab hum apne haathon ki lakeero'n se Tera aks-e-jaa'n mita dainge Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-e-mohabbat ! Shab ki tanhai main chupke se hata dainge Is per bhi sehar koi gham nahi hota K hum ko zamane main teri ruwai manzoor nahi Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota Magar jab faseel-e-jaa'n se saans ukharti hai to Aise main hum aseer-e-mohabbat ! Phir se ahed-e-wafa dohrane lagte hain Itne zakhm kha kar bhi , nishtar jaan ko teri ankhon ka Surm

*** UDAS DECEMBER KI HASEEN YAADEIN ***

Mujh Se Poochtey Hain Log Kis Liye December Mein Yun Udas Rehta Hoon Koi Dukh Chupata Hoon Yaa Kisi k Janey Ka Sog Main Manata Hoon Aap Mery Album Ka Safha Safha Dekhein Ge? Aayiee Dikhata Hoon Zabt Aazmata Hoon Sardion k Mausam Mein Garam Garam Coffee k Chotay Chotay Sip Ley Kar Koi Mujh Se Kehta Tha Haye Iss December Mein Kis Bala Ki Sardi Hay Kitna Thanda Mausam Hay Kitni Yakh Hawayein Hain Aap b Ajab Shay Hain Itni Sakht Sardi Mein Ho k Itney Bey Parwah Jeans Aur T-Shirt Mein Kis Mazey Se Phirtey Hain Shaal b Mujhay Dey Di Coat b Oorrha Dala Phir b Kaanpti Hoon Main Chaliye Ab Sharafat Se Pehan Lijiye Sweater Aap k Liye Main Ne Bun Liya Tha Do Din Mein Kitna Maan Tha Uss Ko Meri, Apni Chahat Par Ab b Har December Mein Uss Ki Yaad Aati Hay Garam Garam Coffee k Chotay Chotay Sip Ley Kar Haath Gaal Par Rakhey Hairat Aur TaAjjub Se Mujh Ko Dekhti Rehti Aur Muskura Deti Shokh-o-Sard Lehjay Mein Mujh Se Phir Vo Kehti Thi Itney Sard Mausam Mein Aadhi Sleeves Ki T-Shirt Iss

mujhey tum bohat yaad aaye.....................!

Iss baar december main mujhey tum bohat yaad aaye shaam dhaliy tamanna key sarak par taheelty howe kheza key sokhey pato par chalty howe bareshe main bhegtey howe,heejre key gum seheety howe,aamawas ki raat kaatey howe sarde ki dhoop sengtey howe share aakely parhty aur samjhty howe raat der tuk jagty howe,chand aur chandani ko taktey howe, khamoshe sey ansoon bahaty howe,aakely december banatey howe, mujhey tum bohat yaad aaye.....................!

December ki sard ratoon mein,

December ki sard ratoon mein, kuch lamhoon mein kuch Baatoon mein, Koi mere sath tha, Jisnay kaha tha Nibhaonga sath, Aj mein us say bohat Door aachuka hon, Mein wo Waqt ganwa chuka hon, Per jab uski Yaad aati hai, Neend bohat door chali jati hai, Meri Taanhaiyoon ko haseen banati hai, Ab aesey hi Zindagi bitaengey,

TanHa December ki thandi khanak raat main

TanHa December ki thandi khanak raat main Bohhat door jati hai apni nazar Sitaron k uss par woh rahguzar Jahan hum nay paya tha ik hamsafar Bohhat bay kali thi,tha lamba safar Jahan kitni sadiyan thien bas ik pehar Nazar ko jo palta ar dekha idhar Wohi sard raatain jo thein muntazir Main apnay hi kamray main bethi hoon ab Na woh kahkishan hai na woh hamsafar Bas apnay hi jaisay hain kuch chara gar Mera dard.e.dil aur wafa bay samar Meray dil ki dunya gae hai ujarh Tumharay bina hai yeh khali dagar Yeh kaisa december hai ay hamsafar Na dunya k gham na hi apni fikar Bhool jata ho jaisay koi apna hi ghar Aa ja k tujh bin hai soona nagar Hai sab kuch yahan,nahi kuch b magar Goya apnay hi jaisa hai sara shehar

Teri yadon ki rawani or ye december

Teri yadon ki rawani or ye december Meri batein , teri kahani or ye december Mera hath tera sath , lambi sarak or ye December Gum sum shaamain , sunehri raatain or ye December Bheigy din , madham suraj , halky badal or ye December Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund or ye December Tanha me , tanha chand , mera kamra or yeh December Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab or ye December

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy

Koi jazba adhoora reh geya hai,

  Koi jazba adhoora reh geya hai, December aansu’on mein beh geya hai, Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai, Najane aaj woh kya keh geya hai, Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri, Samundar mein samundar beh geya hai, Tumhare sath wabasta tha sab kuch, Siwaye yaad ke kya reh geya hai, Palat kar dekhne per hum ne jana, Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai, Bohat bheerr hai bazaron mein lekin, Tera Arshad akela reh geya hai..

* December Yaad Aata Hy *

* December Yaad Aata Hy * Hawa Ka Sard Jhonka Jab Mujhy Chhoo K Guzarta Hy Meri Socho’N K Darpan Men December Ki Chatakhti Dhuup Ek Chehra Banati Hy Thithertey Sard Mausam Mein Saba Jab Gungunati Hy Hawa Seeti Bajati Hy, Rag’Go’N Mein Sar-Sarati Hy Tou Yun Lagta Hy, College Ki Canteen Mein Bethi Wo Phir Se Muskurati Ho, Meri Coffee Ki Piyaali Se Dhuwe’N K Garam Badal Ne Koi Surat Banai Ho Koi Khushbuu Ki Suurat Baat, Nihaan Thi Jo Mere Dil Mein Meri Aankho’N Se Parh Ker Wo Zara Sa Muskurai Ho Bas Ek Wo Khwaab Sa Lamha Hy Rakht-E-Zindigani Jo, December Ki Khunk Raato’N Mein Aksar Yaad Aata Hy Nahi Bhuula Jisey Ab Tak Wo Manzar Yaad Aata Hy * December Yaad Aata Hy *

December laut aaya hai

December laut aaya hai  tumhaaray laut aanay ki.  na'ee ummeed jaagi hai abhi pichhlay baras tum nay  meiray seenay pay sar rakh kar..  haya say munh chhupaaya tha.. Magar aprail aanay tak..  Tumhaari jheel aankhoon main..  Naya sapna samaaya tha.. Miray chhotay say aangan main...  Tumhain veh'shat si hoti thi..  Mujhay tum nay bataaya tha.. "Kisi ki qaid main rehna...  Mujhay acha naheen lagta..  Main ik aazaad panchhi hoon" Suna hai phir say tanha ho..  Setambar k maheenay say..  Bohat khaamosh rehti ho.. K jis ko tum nay chaaha tha..  Wafa k naam se us ko..  Bohat veh'shat si hoti thi.. "Wo ik aazaad panchhi tha..  Kisi ki qaid main rehna..  Usay acha na lagta tha..." Suna hai mairay aangan ki..  Tumhain ab yaad aati hai...  Suna hai tum pa'shaymaan ho... Chalo phir aisa kartay hain..  December ka maheena hai...  Naya aaghaaz kartay hain... December laut aaya hai...  Suno ab laut aao tum....  

Aakhree chand din december key

Aakhree chand din december key  hur baras hi giraan guzartay hain  khahishoon kay nigaarkhanay mein  kaisay kaisay gumaan guzartay hain  raftagaan kay bikhartay saalon ki  aik mehfil si dil may sujti hai  phone ki diary key safhoon say  kitnay number pukartay hain mujhay  jin say murboot benawa ghantee  ab faqut meray dil may bujtee hai  kis qadar pyaray pyaray naamoon per  raingtee budnuma lakeerain see  meri aankhoon main phail jaatee hain  doorian daairay banati hain  hur december kay aakhree din mein  hur baras ki tarha say ab kay bhi  diary ik sawal kerti hay  kiya khaber is baras kay aakhir main  meray in bechirag safhoon say  kitnay hi naam kut gaiy ho gain  hur december mein sochta hoon main  aik din is tarha bhi hona hai  rang ko roshni mein khona hai  

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne  jatey jatey nargissi mausam ko rulaya  khain pe lalazar banya  gulab motia chambeli se  tulip ki larioon se goond ke  pyar ke rangoon se sainch ke  parioon si khawishoon ke jhoormat main hamrieen laboon pe  duaaon ke alwidi kalmaat  tum hamesh raho mere saat  marmareen hatehlioon pe naii  umeedoon ke roshan chiragh  sadioon se chand ke devi  kaat rahi hai charqha  narm narm galoon se  prem ki dhank se dhunak rahi hai  hur ane wali subha ko  Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham  ajj jati december ki sham  insaanyat ke naam  mohabbat azaadi shanti amaan hai sub ki jaan  nafratoon ko kar do tammam  choti se hasti hai ye  pyar se basti hai  hamesha se hai  hamesha rahingain  Main or Nelaa Asmman  

Dekh December !

Dekh December !  Ab mat ana Dekh December !  Mere andar kitnay sehra phail chukay hain Tanhai ki rait ne mere Saaray dariya paat diye hain Ab main hoon  Aur mere banjhar pan ki bojhal ta hai Dekh December !  Teri baraf shabo'n main Teri bekhuwab shabo'n main Khuwab sweater kon bunay ga Rooh k andar girti barfain kon chunay ga Dekh december !  Apnay dukh ki baraf pehen kar Dhoop Diyaro'n tak mat jana Mere piyaro'n tak mat jana Dekh december Ab mat ana Ab mat ana ...!

Tuj say judai ka dukh

Tuj say judai ka dukh Tere hijer ka karb Dekh ! phir say aa gai hain December key sard ratain Uzab ratein Tere kbrb main dobi Khowbanak ratain Teri wo pur noor ratain Tujhey kiya khuber December key sard ratoon main Tere sung beeti sardion key Khosgawar khobsurut shamoon ko yaad kertha hoon Is mohoom si tamana kay sahray Teri talash mae Sarkoon per awara phirth hoon Aatay jatay chehroon main tujhey kohja kerta hoon Shayad kaywo tum ho Aur thuk haar ker jo lautta hoon To khud per khoub hastha hoon Phir !  Phoot phoot ker roota hoon  

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka Phir aa gaya aik naya sal dosto... Is bar bi kisi say december nahin ruka Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt Aisa safar kia k kahin per nahin ruka Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka Chalta raha adoo ki safin rondta howa Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

.........December..........

Osey kehna December aa gia hi.. December ke guzarty hee.. Bars aik aur mazi ki chaao'n me doob jaye ga.. Osey kehna December Laot aye ga.. mgr jo khoon so jaye ga jismo'n me.. Na jagey ga..! Osey kehna Hawaie'n sard hen, aur zindagi ke Kuhrey.. Dewaro'n me Larzaa'n hen.. Osey kehna shagofey Tehnio'n me so rahy hen.. Aur un pe barrf ki chaadr bichi hi.. Osey kehna agr suraj na nikley ga... to kaisy barrf piglay ge.. Osey kehna Laot aye.. Osey kehna Laot aye.. Osey kehna December aa gia hi....!

December Ki Baarish May

December Ki Baarish May Bheegtay Peroo'n Say Pocho Akela Pan Kya Hai...???? Tanhai Kisay Kehtay Hain? Seh-Peher Ki Dhuup Ko Tarashna Aur Barish May Bheegtay Rehna Jangal Ki Raaho'n May Akelay Chalna Aur Barish May Bhegtay Rehna.. December Ki Barish May Leher-dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale Tanha Kaise Rehte Hain?? Bhegti hain sard Raatein December Ki Barish Say Kaho ! Kabhi Jungle K Us Paar Mile Dhaltay Hon Sham K Saaye main To Unn Aankhon Say Milay..!! December Ke Barish Say Kahoo........ !!

December Tum Na Jao Na..

December Tum Na Jao Na.. Abhi Lamhe Nahi Bikhrey,  Abhi Mosam Nahi Bichrey,  Mere Kamrey Ki Thandak Me,  Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai,  Meri Dairy K Kuch Safhe,  Abhi Kuch Keh Nahi Paye, Mere Angan K Sab Podey,  Abhi B Gungunatey Hein Mere Bejaan Hontoon Pr,  Abhi Muskaan Baqi Hai,  Kisi K Lot Any Ka Abhi  Imkaan Baqi Hai, December..!!  Baat Ik Sun Lo! Sonu!  Tum Maan Jao Na! K Jab Tak Wo Nahi Aata,  December Tum Na Jao Na..

Naee hikayat muhabbaton ki

Naee hikayat muhabbaton ki Shikayatoon ki Bhujhe bhuje se haroof le kar Kohar mein doobi seyyahoon ki Warq warq per utaarna hai Udaas shamoo ke phool chun kar Suno December Ussay pukaaro Ussay bulaaoo Suno December ... Ussay mila do Ab is se pehlay ke saans niklay Ab is se pehlay ke saal guzray Wohi lakeerain wohi sitaara Meri lakeeroon mein qaid kar do Ya aakhri shab ke aakhri pal Koi bara ikhtitaam kar do Yeh zindagi bhi tamaam kar do Suno December ... Ussay mila do...

December jab bhi ata hai

December jab bhi ata hai  Wo pagli  Phir se beete mosamon ki  Talkhion ko yaad karti hai  Porana card parhti hai  Ke jis main os ne likha tha Main louton ga december main Naye kapre banati hai  Wo sara gher sajati hai  December ke her ek din ko  Wo gin gin ker betati hai  Jonhi 15 guzerti hai  Wo kuch kuch toot jaati hai  Mager pher bhi  Porani album ko khool ker  Mazi bolati hai  Nahi maloom ye es ko  Ke beete wakt ki khushian  Boht takleef deten hain  Mahz dil ko jalati hain Yonhi den beet jaate hain  December lout jata hai  Mager wo khush-fehm si larki  Dobara se calender main  December ke maheene ke  Safhe ko moor ker pher se  December ke saher main doob jati hai  Ke akhir os ne likha tha Main louton ga december main  

Suno!

Suno!  December ki thitharti huii shaamien  Kohar ma lipti dhundaali si subhien  Darakhton se girte huye  Khushk zerd patte  Wo gaaon ke tamaam raste  Mohabbaton ke tamaam rishte  Khayaal abad kerte hain  Tumhein sub yaad kerte hain  

December ki sard hawaoo

December ki sard hawaoo  Us se milo to kehna  K aaj bhe  Us ki yaad  Kisi k dil main  Mustaqil  Khaima zan hay  Koi aaj bhe usay  Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,  Hanstay,rotay  Yaad karta hay December ki sard hawaoo  Us se milo to kehna K aaj bhe  Kisi ki palkain  Sir e sham he  Us k intizar main  Beech jati hain,  Aaj bhe koi  Us kay liye  Udas rehta hay December ki sard hawaoon  Us se milo toa kehna  K aaj bhe  Kisi k din rat  Us kay bin  Sogawar guzertay hain,  Aaj bhe  Kisi ki aankhain  Us kay liye  Num rehti hain December ki sard hawaoo  December ki sard hawaoo  December ki sard hawaoo  

Raat Uss ne Poocha tha

Raat Uss ne Poocha tha:  Tum ko Kaisi Lagti Hai  Chandni December ki ! Main ne Kehna Chaha Tha:  Saal-o-Maah ke Baarey mein  Guftagu ke Kya Maani ?  Chahey koi Manzir ho  Dasht ho , Sumnadar ho  June ho , December ho  Dharkanoo'n ka Har Naghma  Manzaroo'n pe Bhaari hai  Saath Jab Tumhara Ho  Dil ko Ik Sahara ho  Aisa Lagta hai, jaise  Ik Nasha sa Taari hai Lakin Uss ki Qurbat mein  Kuch Nahi Kaha Main ne  Takti Reh gayi Mujh ko  Chandni December ki

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai  Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo  Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai  Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom  Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi  Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai Tum aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye  Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai  

Tuj Say Judai Ka Dukh

Tuj Say Judai Ka Dukh  Tere Hijr Ka Karb  Dekh! Phir Say Aa Gai Hain  December Ki Sard Ratain  Azab Ratein  Tere Kurb Main Dobi  Khwab-Nak Ratain  Teri Wo Pur Noor Ratain Tujhe Kia Khaber  December Ki Sard Ratoon Main  Tere Sung Beeti Sardion Ki  Khoshgawar Khobsurat Shamoon Ko Yaad Kerta Hoon  Is Mohoom Si Tamana K Sahare  Teri Talash My  Sarkoon Per Awara Phirth Hoon Aate Jate Chehroon Main Tujhe Khoja Kerta Hoon  Shayad K Wo Tum Ho Aur Thak Haar Ker Jo Laut.Ta Hoon  To Khud Per Khob Hasta Hoon  Phir !  Phoot Phoot Ker Roota Hoon  

December lout aya hay

Gaiay Din .......... gaiay pal loutay nahi magar mosem lout atay hain wohi mosem!  jo apni rafaqatoon k ameen rahay  saray lamhay ko dil ko azbar that suno!  wo mosem lout aiay hain  december lout aya hay meri khirhki mai thandhi yakh-basta hawa-ian  tumhari hidat chura k laiee hain  khank mosem muj say batien karta hay tumharay lehjay mai!  bolta hay wohi mithi si sargoshi wohi jadu bhara lehja sochoon to pass ho kitnay daikhoon jo tum kahi b nahi december lout aya hay magar ab k tumharay ehsaas k siwa kuch kahi b nahi kuch b nahi

Ab k December mein

    Ab k December mein Main nay bhi kuch khawaab sajaye hain apni sard aankho'n may per darr lagta hai kahi.nn yeh meray khawaab pighael na jaye Dhoop pernay per....!!      

December ab k aao tou

December ab k aao tou Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay Aur us ko jo bhi pooron say Nazar say choo gia pal bhar Mehak utha! December ab ka aao tou Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa Jahan per rait k zarray sitaray hain Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain! December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay Muhabbat barf jaisee hay yahan Yahan dil k lahoo mein Apni palkon ko dabo ker hum Sunehray khawb buntay hain Phir unhi khawbon mein jeetay hain Unhi khawbon pe mertay hain Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin Magar phir bhi! December ab k aaou tou Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Hon Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Hon Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Hon Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar e Mehfil Main In Ankhon Kay Pechay Chashm e Purnam Dhond Leta Hon Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Hon Kelander Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Hon

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein

Dhoop Kay Dasht Mein Shishay Ki Radain Di Hein Zindagi Tune Hmain Kesi Sazain Di Hein Sholo Jesi He Ata Ki Hein Solagti Bondain Aag Barsati Hoi Hum Ko Gataye Di Hein Ek Dua Go Ne Rafaqat Ki Tasali Day Ker Umer Bhar Hijar Mein Jalne Ki Sazain Di Hain Dil Ko Bujne Ka Bahana Koi Darkar Tu Tha Dukh Tu Ye Hai Tere Daman Ne Hawaye Di Hein Kesa Mahool Mila Hai Hamain Jine Kay Liye Dene Wale Ne Hamain Kesi Fizain Di Hein

ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaaye.nge

ab ye hogaa shaayad apanii aag me.n Khud jal jaaye.nge  tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paaye.nge dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat me.n  ham ne kitane dhoke khaaye kitane dhoke khaaye.nge aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa  ishq ke haatho.n ye bhii hogaa log hame.n samajhaaye.nge kal ke dukh bhii kaun se baaqii aaj ke dukh bhii ka_ii din ke  jaise din pahale kaaTe the ye din bhii kaT jaaye.nge ham se aabalaa-paa jab tanhaa ghabaraaye.nge saharaa me.n  raaste sab tere hii ghar kii jaanib ko mu.D jaaye.nge aa.Nkho.n se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai  mujh se chhuT kar bhii ahal-e-Gam kyaa tujh se chhuT jaaye.nge  

ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n

ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n  aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah  aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube  ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai  apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa  terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii  dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise

ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise rat ke pichle pahar ati hain avazain si dur shahara main koi chiKh raha ho jaise dar-o-divar pe chai hai udasi aisi aj har ghar se janaza sa utha ho jaise muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise ab agar dub gaya bhi to marunga na ?Kamal? bahte pani pe mera nam likha ho jaise

ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke

ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke ye luTate hue kaarawaa.N zindagii ke kahaa.N hai.n, kahaa.N hai.n muhaafiz Khudii ke? sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai.n? ye pur_pe.nch galiyaa.N, ye be_Khaab baazaar ye gumanaam raahii, ye sikko.n kii jha.nkaar ye ismat ke saude, ye saudo.n pe takaraar sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n? ta’affun se pur niim_roshan ye galiyaa.N ye masalii huii adh_khilii zard kaliyaa.N ye bikatii huii khokalii rang_raliyaa.N sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n? wo ujale dariicho.n me.n paayal kii chhan-chhan tanaffus kii ulajhan pe tabale kii dhan-dhan ye be_ruuh kamaro.n me.n khaa.Nsii kii dhan-dhan sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n? ye guu.Nje hue qah-qahe raasto.n par ye chaaro.n taraf bhii.D sii khi.Dakiyo.n par ye aawaaze.n khii.nchate hue aa.Nchalo.n par sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n? ye phuulo.n ke gajare, ye piiko.n ke chhii.nTe ye be_baak nazare.n, ye gustaaKh fiqare ye dhalake

bha.Dakaa rahe hai.n aag lab-e-naGmaagaar se ham

bha.Dakaa rahe hai.n aag lab-e-naGmaagaar se ham Khaamosh kyaa rahe.nge zamaane ke Dar se ham kuchh aur ba.D gae a.Ndhere to kyaa huaa maayuus to nahii.n hai.n tulu-e-sahar se ham le de ke apane paas faqat ek nazar to hai kyuu.N dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham maanaa ki is zamii.N ko na gulazaar kar sake kuchh Khaar kam kar gae guzare jidhar se ham

ek roz ham se kahane lagii ek gul_badan

ek roz ham se kahane lagii ek gul_badan ainak se baa.Ndh rakhii hai kyo.n aap ne rasan milataa hai kyaa isii se ye andaaz-e-fikr-o-fan ham ne kahaa ki aisaa nahii.n hai janaab-e-man baiThe jahaa.N hasiin ho.n ek bazm-e-aam me.n rakhate hai.n ham nigaah koapanii lagaam me.n

Poocha kisi ne haal kisi ka tu roo diye

Poocha kisi ne haal kisi ka tu roo diye  Paani mein aks chand ka dekha tu roo diye Nagma kisi ne saaz pe chhera tu hans parey  Ganicha kisi ne shhah se toora tu roo diye Uurta hua gubar sare e raa dekh ker  Anjam hum ne ishq ka soocha tu roo diye Badal fiza mein aap ki tasveer ban gaye  Saaya koi khayal se guzra tu roo diye Rang e shafak se aag shagofon mein lag gayi  Sager hamarey haath se chalka tu roo diye

chupaaye dil meIn Ghamoon ka jahan baithe hain

chupaaye dil meIn Ghamoon ka jahan baithe hain  tumhaarii bazm mein ham bezabaan baithe hain ye aur baat ki manzil pe ham pohanch na sake  magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baithe hain fugaa.n hai dard hai soz-o-firaaq-o-daag-e-alam  abhii to ghar mein bohat meharabaan baithe hain ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii  lutaa ke ishq mein naam-o-nishaan baithe hain vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai  jise shariat-e-ehasaas maan baithe hain hai maikadon kii bahaaron se dostii 'Sagar'  baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baithe hain

Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Lon

Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Lon Ter Daman ki hawao se lipat ker ro lon Jaam e may pinay se pehle mera g chahata hai Bikhari zulfo ki gatao se lipat ker ro lon Zard Ghuncho ki nigaho mein nigahain dalon Surkh pholo ki qabaho mein lipat ker ro lon Ane waley tere raste mein bichao ankhian Jane waley tere paon se lipat ker ro lon Apne majbor taqadus k sahare Saghar Dair o Qaba k Khudao se lipat ker ro lon

vo subah kabhii to aayegii

vo subah kabhii to aayegii in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGme gaayegii vo subah kabhii to aayegii jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam faramaayegii vo subah kabhii to aayegii maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaayegii vo subah kabhii to aayegii daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaayegaa chaahat ko naa kuchalaa jaayegaa, izzat ko naa bechaa jaayegaa apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaayegii vo subah kabhii to aayegii biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuuk ke aur bekaarii ke TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii

tumhaarii mast nazar agar idhar nahii.n hotii

tumhaarii mast nazar agar idhar nahii.n hotii nashe me.n chuur fizaa is kadar nahii.n hotii tumhii.n ko dekhane kii dil me.n aarazuue.n hai.n tamhaare aage hii aur uu.Nchii nazar nahii.n hotii Khafaa na honaa agar ba.D ke thaam luu.N daaman ye dil fareb Khataa jaan kar nahii.n hotii tumhaare aane talak ham ko hosh rahataa hai phir usake baad hame.n kuchh Khabar nahii.n hotii

teraa Khayaal dil se miTaayaa nahii.n abhii

teraa Khayaal dil se miTaayaa nahii.n abhii bedard mai.n ne tujh ko bhulaayaa nahii.n abhii kal tuune muskuraa ke jalaayaa thaa Khud jise siine aa vo charaaG bujhaayaa nahii.n abhii gardaan ko aaj bhii tere baaho.n kii yaad hai chaukhaT se terii sar ko uThaayaa nahii.n abhii behosh hoke jald tujhe hosh aa gaayaa mai.n badanasiib hosh me.n aayaa nahii.n abhii

ta.ng aa chuke hai.n kash-ma-kash-e-zindagii se ham

ta.ng aa chuke hai.n kash-ma-kash-e-zindagii se ham Thukaraa naa de.n jahaa.N ko kahii.n bedilii se ham maayuusii-e-ma’al-e-mohabbat naa puuchhiye apano.n se pesh aaye hai.n begaanagii se ham [ma’al=consequence] lo aaj hamane to.D diyaa rishtaa-e-ummiid lo ab kabhii gilaa naa kare.nge kisii se ham ubhare.nge ek baar abhii dil ke val-vale go dab gaye hai.n baar-e-Gam-e-zindagii se ham gar zindagii me.n mil gaye phir ittafaaq se puuchhe.nge apanaa haal terii bebasii se ham allaah re fareb-e-masahiiyat ke aaj tak duniyaa ke zulm sahate rahe Khaamoshii se ham [masahiiyat=God’s will] ham Gam-zadaa hai.n laaye kahaa.N se Khushii ke giit de.nge wahii jo paaye.nge is zindagii se ham

taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hii sahii

taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hii sahii tum ko is vaadii-e-rangii.n se aqiidat hii sahii [mazahar-e-ulfat=symbol of love; vaadii-e-rangii.n=beautiful spot; aqiidat=respect/preference?] mere mahabuub kahii.n aur milaa kar mujh se! bazm-e-shaahii me.n Gariibo.n kaa guzar kyaa maanii sabt jis raah pe ho.n satavat-e-shaahii ke nishaa.N us pe ulfat bharii ruuho.n kaa safar kyaa maanii [bazm-e-shaahii=royal court; sabt=etched] [satavat-e-shaahii=royal grandeur; ulfat bharii ruuh=lovers] merii mahabuub pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa tuu ne satavat ke nishaano.n ko to dekhaa hotaa murdaa shaaho.n ke maqaabir se bahalevaalii apane taariik makaano.n ko to dekhaa hotaa [pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa=behind the veil of this advertisement of faith/love] [satavat=wealth/grandeur; maqaabir(maqabaraa)=tomb; taariik=dark] anaginat logo.n ne duniyaa me.n muhabbat kii hai kaun kahataa hai ki saadiq na the jazbe un ke lekin un ke liye tashhiir kaa saamaan nahii.n kyuu.N ke vo log bhii apani

ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n

ahal-e-dil aur bhii hai.n ahal-e-vafaa aur bhii hai.n ek ham hii nahii.n duniyaa se Khafaa aur bhii hai.n [ahal-e-dil = dil vaale; Khafaa = angry (with)] kyaa huaa gar mere yaaro.n kii zabaane.n chup hai.n mere shaahid mere yaaro.n ke sivaa aur bhii hai.n [shaahid = one who bears witness] ham pe hii Khatm nahii.n maslak-e-shoriidaa_sarii chaak-e-dil aur bhii hai chaak-e-qabaa aur bhii hai.n [maslak-e-shoriidaa_sarii = rebellious ways; qabaa = long gown] sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hai.n [sang-e-malaamat = stones of accusations/reproach] [paikaan = arrow; qazaa = death] munsif-e-shahar kii vahadat pe na harf aa jaaye log kahate hai.n ke arabaab-e-jafaa aur bhii hai.n [munsif = judge; vahadat = oneness, unity]

ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo

ab aaye.n yaa na aaye.n idhar puuchhate chalo kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo ham se agar hai tark-e-ta’alluq to kyaa huaa yaaro ko_ii to un kii Khbabar puuchhate chalo jo Khud ko kah rahe hai.n ki ma.nzil shanaas hai.n un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo kis ma.nzil-e-muraad kii jaanib ravaa.N hai.n ham ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chalo

aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste

aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n [bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times] [Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life] go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr [tez-gaam = fleet-footed] zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab [meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry] tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab [tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation’s progress/upliftment] [zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows] ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat yuu.N hai ki

raat kii besukuu.N Khamoshii me.n

raat kii besukuu.N Khamoshii me.n ro rahaa huu.N ki so nahii.n sakataa raahato.n ke mahal banaataa hai dil jo aabaad ho nahii.n sakataa [besukuu.N = restless; Khamoshii = silence] [raahat = comfort] duur shama-e-Khayaal ke maanind shama vaadii kii jhil_milaatii hai yaas ke beqaraa.N andhere me.n ek umiid muskuraatii hai [maanind = like/similar to; yaas = disappointment] [beqaraa.N = boundless/limitless] duur parabat ke paas char_vaahaa kho gayaa Gam_fazaa taraano.n me.n bain karatii hai ruuh-e-zaKhm_aaluud baa.Nsurii kii nahiif taano.n me.n [char_vaahaa = shepherd/goatherd] [ruuh-e-zaKhm_aaluudaa = wounded soul; nahiif = delicate/weak] tere jaane kaa Gam bhulaataa huu.N tere aane kii yaad aatii hai haaye is bebasii ke aalam me.n kis zamaane kii yaad aatii hai [bebasii = helplessness] shab ko viiraan rah_guzaaro.n se sar jhukaaye hue guzarataa huu.N qah_qaho.n me.n qaraar khoyaa thaa aa.Nsuo.n me.n talaash karataa huu.N [qah_qahaa = loud laughter; talaash = search]

qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao

qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao [qazaa=death] thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao [dam-e-firaaq=moment of separation]

is se pahale ki terii chashm-e-karam maazarat kii nigaah ban jaaye

is se pahale ki terii chashm-e-karam maazarat kii nigaah ban jaaye pyaar Dhal jaaye mere ashko.n me.n aarazuu ek aah ban jaaye mujh pe aa jaaye ishq kaa ilzaam aur tuu begunaah ban jaaye mai.n teraa shahar chho.D jaauu.Ngaa is se pahale ki saadagii terii lab-e-Khaamosh ko gilaa kah de terii majabuuriyaa.N na dekh sake aur dil tujhako bevafaa kah de jaane mai.n beKhudii me.n kyaa puuchhuu.N, jaane tuu beruKhii se kyaa kah de mai.n teraa shahar chho.D jaauu.Ngaa is se pahale ki tere hoTho.n se Gair hoTho.n ke jaam Takaraaye is se pahale ke zulf ke baadal ajanabii baazuyo.n pe laharaaye aur terii bebasii ke nazaare merii aa.Nkho.n pe aag barasaaye mai.n teraa shahar chho.D jaauu.Ngaa chho.D kar saahil-e-hayaat chalaa ab safiinaa meraa kahii.n Thahare zahar piinaa meraa muqaddar hai aur tere ho.nTh dil-nashii.n Thahare kis tarah tere aastaa.N pe rukuu.N jab na paa.Nv tale zamii.n Thahare mai.n teraa shahar chho.D jaauu.Ngaa mujh ko itanaa zaruur kahanaa hai vaqt-e-ruKhsat salaam se pa

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye

merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye [daastaan-e-hasarat=tale of desire] ko_ii aisaa ahal-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat mai.n use sunaa ke rouu.N vo mujhe sunaa ke roye [ahal-e-dil=resident of the heart; fasaanaa=tale] merii aarazuu kii duniyaa dil-e-naatavaa.N kii hasarat jise kho ke shaadamaa.N the use aaj paa ke roye [naatavaa.N=weak; shaadamaa.N=happy] terii bevafaa_iyo.n par terii kaj_adaa_iyo.n par kabhii sar jhukaa ke roye kabhii muu.Nh chhupaa ke roye [bevafaa_ii=infidelity; kaj-adaa_ii=crudity/lack of gentility] jo sunaa_ii anjuman me.n shab-e-Gam kii aap_biitii ka_ii ro ke muskuraaye ka_ii muskuraa ke roye [anjuman=gathering; aap-biitii=first hand experience]

ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa

ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhe.n kyaa maaluum raat bhar taaro.n bharii raat pe ronaa aayaa kitane betaab the rim_jhim me.n piiyenge lekin aa_ii barasaat to barasaat pe ronaa aayaa kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir sab ko apanii hii kisii baat pe ronaa aayaa ’Saif’ ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa

jab tere shahar se guzarataa huu.N

jab tere shahar se guzarataa huu.N dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe naam letii nahii.n zubaa.N teraa ye bhii nahii.n mujhe maaluum kis mohalle me.n hai makaa.N teraa kaun sii shaaKh-e-gul pe raqsaa.N hai rashk-e-firdaus aashiyaa.N teraa jaane kin vaadiyo.n me.n Theharaa hai Girat-e-husn kaaravaa.N teraa kis se puuchhuu.Ngaa mai.n Khabar terii kaun batalaayegaa nishaa.N teraa terii rusvaa_iiyo.n se Darataa huu.N jab tere shahar se guzarataa huu.N haal-e-dil bhii na kah sakaa garche tuu rahii muddato.n qariib mere kuchh terii azmato.n kaa Dar bhii thaa kuchh Khayaalaat the ajiib mere aaKhir kaar vo gha.dii aa_ii baar-e-dar ho gaye raqiib mere tuu mujhe chho.D ke chalii bhii ga_ii Khair qismat merii nasiib mere ab mai.n kyo.n tujh se pyaar karataa huu.N jab tere shahar se guzarataa huu.N vo zamaanaa terii muhabbat kaa ek bhuulii hu_ii kahaanii hai tere kuuche me.n umr bhar na gaye saarii duniyaa kii Khaak chhaanii hai lazzat-e-qarb ho ke zaKhm-e-firaaq jo bhii hai terii me

aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa

aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa yuu.N vo Thukaraa ke chal diye goyaa ik khilaunaa thaa pyaar TuuT gayaa roye rah-rah kar hich_kiyaa.N lekar saaz-e-Gam baar baar TuuT gayaa [saaz = musical instrument] aap kii beruKhii kaa shikavaa kyaa dil thaa naapaa_idaar TuuT gayaa [naapaa_idaar = weak/delicate] dekh lii dil ne besabaatii-e-gul phir tilism-e-bahaar TuuT gayaa [besabaatii-e-gul = mortality/short life span of a flower] [tilism-e-bahaar = (magic)spell of spring] ’Saif’ kyaa chaar din kii ranjish se itanii muddat kaa pyaar TuuT gayaa

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Kay Roye

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Kay Roye Mere Azmane Wale Mujhe Azma K Roye Koi Aysa Ahle Dil Ho Kay Fasana Mohabbat Main Usay Suna Kay Ro’on Wo Mujhe Suna Kay Roaye Meri Arzo Ki Dunia Dil Natwa Ki Hasrat Jise Kho K Shadma Thay Usay Aj Pa K Roye Teri Bewafaio Per Teri Kaj Adaio Per Kabhi Ser Jhuka Kay Roye Kabhi Mun Chupa Kay Roye Jo Sunai Anjman Mein Shab-e-Gham Ki Ap Beti Kai Ro K Muskuraye Kai Muskura K Roye

teraa meraa jhaga.Daa kyaa jab ik aa.Ngan kii miTTii hai

teraa meraa jhaga.Daa kyaa jab ik aa.Ngan kii miTTii hai  apane badan ko dekh le chhuukar mere badan kii miTTii hai bhuukhii pyaasii bhaTak rahii hai dil me.n kahii.n ummiid liye  ham aur tum jis me.n khaate the us bartan kii miTTii hai Gairo.n ne kuchh Khvaab dikhaakar niind churaalii aa.Nkho.n se  lorii de de haar ga_ii jo ghar aa.Ngan kii miTTii hai soch samajhakar tum ne jis ke sabhii gharonde to.D diye  apane saath jo khel rahaa thaa us bachapan kii miTTi hai chal nafarat ko chho.D ke ’Anjum’ dil ke rishte jo.D ke Anjum  is miTTii kaa qarz utaare.n apane vatan kii miTTii hai

jab kabhii teraa naam lete hai.n

jab kabhii teraa naam lete hai.n dil se ham intaqaam lete hai.n merii barbaadiyo.n ke afasaane mere yaaro.n kaa naam lete hai.n bas yahii ek jurm hai apanaa ham muhabbat se kaam lete hai.n har qadam par gire par siikhaa kaise girato.n ko thaam lete hai.n ham bhaTak kar junuu.N kii raaho.n me.n aql se intaqaam lete hai.n

ham_safar hotaa ko_ii to baa.NT lete duuriyaa.N

ham_safar hotaa ko_ii to baa.NT lete duuriyaa.N raah chalate log kyaa samajhe.n merii majabuuriyaa.N muskuraate Khvaab chunatii gun_gunaatii ye nazar kis tarah samajhe merii qismat kii naamanzuuriyaa.N haadaso.n kii bhii.D hai chalataa huaa ye kaaravaa.N zindagii kaa naam hai laachaariyaa.N majabuuriyaa.N phir kisii ne aaj chhe.Daa zikr-e-manzil is tarah dil ke daaman se lipaTane aa ga_ii hai.n duuriyaa.N

Gamo.n ne gher liyaa hai mujhe to kyaa Gam hai

Gamo.n ne gher liyaa hai mujhe to kyaa Gam hai mai.n muskuraa ke jiyuu.Ngaa terii Khushii ke liye kabhii kabhii tuu mujhe yaad kar to letii hai sukuun itanaa saa kaafii hai zindagii ke liye ye vaqt jis ne palaT kar kabhii nahii.n dekhaa ye vaqt ab bhii muraado.n ke phal laataa hai vo mo.D jis ne hame.n ajanabii banaa Daalaa us ek mo.D pe dil ab bhii gun_gunaataa hai fizaaye.n rukatii hai.n raaho.n par jin se ham guzare ghaTaaye.n aaj bhii jhuk kar salaam karatii hai.n har ek shab ye sunaa hai falak se kuchh pariyaa.N vafaa kaa chaa.Nd hamaare hii naam karatii hai.n ye mat kaho ki muhabbat se kuchh nahii.n paayaa ye mere giit mere zaKhm-e-dil kii rulaa_ii jinhe.n tarasatii rahii anjuman kii rangiinii mujh milii hai muqaddar se aisii tanhaa_ii

chalo baa.NT lete hai.n apanii sazaaye.n

chalo baa.NT lete hai.n apanii sazaaye.n naa tum yaad aao naa ham yaad aaye.n sabhii ne lagaayaa hai chehare pe cheharaa kise yaad rakhe.n kise bhuul jaaye.n unhe.n kyaa Khabar ho aanevaalaa naa aayaa barasatii rahii.n raat bhar ye ghaTaaye.n

tere qadamo.n pe sar hogaa qazaa sar pe kha.Dii hogii

tere qadamo.n pe sar hogaa qazaa sar pe kha.Dii hogii phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii ba.ndagii hogii nasiim-e-subah gulashan me.n gulo.n se khelatii hogii kisii kii aakharii hichakii kisii kii dillagii hogii dikhaa duu.Ngaa sar-e-mahafil bataa duu.Ngaa sar-e-mahashar vo mere dil me.n ho.nge aur duniyaa dekhatii hogii mazaa aa jaayegaa mahashar me.n phir sunane-sunaane kaa zubaa.N hogii vahaa.N merii kahaanii aap kii hogii tumhe.n daanistaa mahafil me.n jo dekhaa ho to mujarim nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii

ye kyaa jaane me.n jaanaa hai, jaate ho Khafaa hokar

ye kyaa jaane me.n jaanaa hai, jaate ho Khafaa hokar mai.n tab jaanuu mere dil se chale jaao judaa hokar qayaamat tak u.Degii dil se uThakar Khaak aa.Nkho.n tak isii raaste gayaa hai hasarato.n kaa kaafilaa hokar tumhii.n ab dard-e-dil ke naam se ghabaraaye jaate ho tumhii.n to dil me.n shaayad aaye the dard-e-aashiyaa.N hokar yuu.N hii hamdam gha.Dii bhar ko milaa karate to bahatar thaa ke dono vaqt jaise roz milate hai.n judaa hokar

nasiim-e-subah gulashan me.n gulo.n se khelatii hogii

nasiim-e-subah gulashan me.n gulo.n se khelatii hogii kisii kii aaKhirii hichakii kisii kii dillagii hogii [nasiim=breeze] tumhe.n daanistaa mahafil me.n jo dekhaa ho to mujarim huu.N nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii [daanistaa=purposefully/knowingly] mazaa aa jaayegaa mahashar me.n kuchh sunane sunaane kaa zubaa.N hogii hamaarii aur kahaanii aap kii hogii [mahashar=day of judgement] sar-e-mahafil bataa duu.Ngaa sar-e-mahashar dikha duu.Ngaa hamaare saath tum hoge ye duniyaa dekhatii hogii yahii aalam rahaa pardaanashiino.n kaa to zaahir hai Khudaa_ii aap se hogii na ham se ba.ndagii hogii [zaahir=evident] ta’ajjub kyaa lagii jo aag ai ’Seemab’ siine me.n hazaaro.n dil me. a.Ngaare bhare the lag ga_ii hogii

naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa

naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa terii Khabar na aa_ii zamaanaa guzar gayaa [naamaa=letter/message; naamaabar=messenger] ha.Nsataa huu.N yuu.N ki hijr kii raate.n guzar ga_ii.n rotaa huu.N yuu.N ki lutf-e-duaa-e-sahar gayaa [hijr=separation; lutf=joy; duaa=prayer; sahar=morning] ab mujh ko hai qaraar to sab ko qaraar hai dil kyaa Thahar gayaa ki zamaanaa guzar gayaa yaa rab nahii.n mai.n vaaqif-e-rudaad-e-zindagii itanaa hii yaad hai ki jiyaa aur mar gayaa [vaaqif=acquainted with; rudaad=tale]