* December Yaad Aata Hy *
Hawa Ka Sard Jhonka Jab Mujhy
Chhoo K Guzarta Hy
Meri Socho’N K Darpan Men
December Ki Chatakhti Dhuup
Ek Chehra Banati Hy
Thithertey Sard Mausam Mein
Saba Jab Gungunati Hy
Hawa Seeti Bajati Hy,
Rag’Go’N Mein Sar-Sarati Hy
Tou Yun Lagta Hy,
College Ki Canteen Mein Bethi
Wo Phir Se Muskurati Ho,
Meri Coffee Ki Piyaali Se
Dhuwe’N K Garam Badal Ne
Koi Surat Banai Ho
Koi Khushbuu Ki Suurat Baat,
Nihaan Thi Jo Mere Dil Mein
Meri Aankho’N Se Parh Ker
Wo Zara Sa Muskurai Ho
Bas Ek Wo Khwaab Sa Lamha
Hy Rakht-E-Zindigani Jo,
December Ki Khunk Raato’N Mein
Aksar Yaad Aata Hy
Nahi Bhuula Jisey Ab Tak
Wo Manzar Yaad Aata Hy
* December Yaad Aata Hy *
Hawa Ka Sard Jhonka Jab Mujhy
Chhoo K Guzarta Hy
Meri Socho’N K Darpan Men
December Ki Chatakhti Dhuup
Ek Chehra Banati Hy
Thithertey Sard Mausam Mein
Saba Jab Gungunati Hy
Hawa Seeti Bajati Hy,
Rag’Go’N Mein Sar-Sarati Hy
Tou Yun Lagta Hy,
College Ki Canteen Mein Bethi
Wo Phir Se Muskurati Ho,
Meri Coffee Ki Piyaali Se
Dhuwe’N K Garam Badal Ne
Koi Surat Banai Ho
Koi Khushbuu Ki Suurat Baat,
Nihaan Thi Jo Mere Dil Mein
Meri Aankho’N Se Parh Ker
Wo Zara Sa Muskurai Ho
Bas Ek Wo Khwaab Sa Lamha
Hy Rakht-E-Zindigani Jo,
December Ki Khunk Raato’N Mein
Aksar Yaad Aata Hy
Nahi Bhuula Jisey Ab Tak
Wo Manzar Yaad Aata Hy
* December Yaad Aata Hy *