Skip to main content

Phir Aik Saal


  1. Phir Aik Saal Beet gaya
    Magar tum nahin aaye
    Aaisa na ho k Naya Saal bhi yon hi beet jaye
    Meri ummeden so jayen aur zindigi ki lo thartharanay lagay
    Tum Lot aao
    Dekho koye tumhain kitna yaad karta hay
    Lekin mujhe maloom hay k tum nahin aao gay
    Ye mosam yon hi guzar jaye ga
    Kyon k tum kisi Aur ki Zindigi ho
    Main to bas yon hi apna dil behlanay ko tumahin pukarti hon
    K SHAYED......!!!!!


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.