Skip to main content

Chalo khatam hoi ajj se dastaan-e-mohabbat

Chalo khatam hoi ajj se dastaan-e-mohabbat
Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda karte hain
Chalo ajj se hum chahat k zanda'n main muqeed huye
Teri yaad k sehra main dard-e-maazi ki wa'eed huye
Chalo ab kitaab-e-zeest se auraq-e-wafa palat'te hain
K ab hum "wafa" ko jafa likhainge , saza likhainge
K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat
Tere bakhse hue azaab-e-tanhai se kerte hain
Chalo ab teri mohabbat ki umar qaid muqaddar hoi
k hum ko wafa nibhane ki saza to milni thi
Chalo ab hum apne haathon ki lakeero'n se
Tera aks-e-jaa'n mita dainge
Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-e-mohabbat !
Shab ki tanhai main chupke se hata dainge
Is per bhi sehar koi gham nahi hota
K hum ko zamane main teri ruwai manzoor nahi
Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota
Magar jab faseel-e-jaa'n se saans ukharti hai to
Aise main hum aseer-e-mohabbat !
Phir se ahed-e-wafa dohrane lagte hain
Itne zakhm kha kar bhi , nishtar jaan ko teri ankhon ka
Surmai samandar yaad ata hai
Aise main hum dair tak mazar-e-mohabbat per
Noha giri kerte hain , aahain bharte hain
Aise main yaad-e-maazi ki har yaad
Nakhl-e-yada'n se mehev hojati hai
Aise main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
Alvidai manzar yaad ata hai
Aise main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bas woh moabbat ka aakhri december yad ata hai !

Haan bas woh aakhri december ......!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.