Skip to main content

jab tere shahar se guzarataa huu.N

jab tere shahar se guzarataa huu.N
dil bhii karataa hai yaad chhup ke tujhe
naam letii nahii.n zubaa.N teraa
ye bhii nahii.n mujhe maaluum
kis mohalle me.n hai makaa.N teraa
kaun sii shaaKh-e-gul pe raqsaa.N hai
rashk-e-firdaus aashiyaa.N teraa
jaane kin vaadiyo.n me.n Theharaa hai
Girat-e-husn kaaravaa.N teraa
kis se puuchhuu.Ngaa mai.n Khabar terii
kaun batalaayegaa nishaa.N teraa
terii rusvaa_iiyo.n se Darataa huu.N
jab tere shahar se guzarataa huu.N
haal-e-dil bhii na kah sakaa garche
tuu rahii muddato.n qariib mere
kuchh terii azmato.n kaa Dar bhii thaa
kuchh Khayaalaat the ajiib mere
aaKhir kaar vo gha.dii aa_ii
baar-e-dar ho gaye raqiib mere
tuu mujhe chho.D ke chalii bhii ga_ii
Khair qismat merii nasiib mere
ab mai.n kyo.n tujh se pyaar karataa huu.N
jab tere shahar se guzarataa huu.N
vo zamaanaa terii muhabbat kaa
ek bhuulii hu_ii kahaanii hai
tere kuuche me.n umr bhar na gaye
saarii duniyaa kii Khaak chhaanii hai
lazzat-e-qarb ho ke zaKhm-e-firaaq
jo bhii hai terii meharabaanii hai
kis tamannaa se tujh ko chaahaa thaa
kis muhabbat se haar maanii hai
apanii qismat pe naaz karataa huu.N
jab tere shahar se guzarataa huu.N

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.