Skip to main content

December laut aaya hai

December laut aaya hai
 tumhaaray laut aanay ki.
 na'ee ummeed jaagi hai

abhi pichhlay baras tum nay
 meiray seenay pay sar rakh kar..
 haya say munh chhupaaya tha..

Magar aprail aanay tak..
 Tumhaari jheel aankhoon main..
 Naya sapna samaaya tha..

Miray chhotay say aangan main...
 Tumhain veh'shat si hoti thi..
 Mujhay tum nay bataaya tha..

"Kisi ki qaid main rehna...
 Mujhay acha naheen lagta..
 Main ik aazaad panchhi hoon"

Suna hai phir say tanha ho..
 Setambar k maheenay say..
 Bohat khaamosh rehti ho..

K jis ko tum nay chaaha tha..
 Wafa k naam se us ko..
 Bohat veh'shat si hoti thi..

"Wo ik aazaad panchhi tha..
 Kisi ki qaid main rehna..
 Usay acha na lagta tha..."

Suna hai mairay aangan ki..
 Tumhain ab yaad aati hai...
 Suna hai tum pa'shaymaan ho...

Chalo phir aisa kartay hain..
 December ka maheena hai...
 Naya aaghaaz kartay hain...

December laut aaya hai...
 Suno ab laut aao tum....
 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng