December ab k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar say choo gia pal bhar
Mehak utha!
December ab ka aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!
December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisee hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
Magar phir bhi!
December ab k aaou tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!