Skip to main content

Poocha kisi ne haal kisi ka tu roo diye

Poocha kisi ne haal kisi ka tu roo diye
 Paani mein aks chand ka dekha tu roo diye

Nagma kisi ne saaz pe chhera tu hans parey
 Ganicha kisi ne shhah se toora tu roo diye

Uurta hua gubar sare e raa dekh ker
 Anjam hum ne ishq ka soocha tu roo diye

Badal fiza mein aap ki tasveer ban gaye
 Saaya koi khayal se guzra tu roo diye

Rang e shafak se aag shagofon mein lag gayi
 Sager hamarey haath se chalka tu roo diye

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng