Skip to main content

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Kay Roye

Meri Dastan e Hasrat Wo Suna Suna Kay Roye
Mere Azmane Wale Mujhe Azma K Roye


Koi Aysa Ahle Dil Ho Kay Fasana Mohabbat
Main Usay Suna Kay Ro’on Wo Mujhe Suna Kay Roaye


Meri Arzo Ki Dunia Dil Natwa Ki Hasrat
Jise Kho K Shadma Thay Usay Aj Pa K Roye


Teri Bewafaio Per Teri Kaj Adaio Per
Kabhi Ser Jhuka Kay Roye Kabhi Mun Chupa Kay Roye


Jo Sunai Anjman Mein Shab-e-Gham Ki Ap Beti
Kai Ro K Muskuraye Kai Muskura K Roye

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.