TanHa December ki thandi khanak raat main
Bohhat door jati hai apni nazar
Sitaron k uss par woh rahguzar
Jahan hum nay paya tha ik hamsafar
Bohhat bay kali thi,tha lamba safar
Jahan kitni sadiyan thien bas ik pehar
Nazar ko jo palta ar dekha idhar
Wohi sard raatain jo thein muntazir
Main apnay hi kamray main bethi hoon ab
Na woh kahkishan hai na woh hamsafar
Bas apnay hi jaisay hain kuch chara gar
Mera dard.e.dil aur wafa bay samar
Meray dil ki dunya gae hai ujarh
Tumharay bina hai yeh khali dagar
Yeh kaisa december hai ay hamsafar
Na dunya k gham na hi apni fikar
Bhool jata ho jaisay koi apna hi ghar
Aa ja k tujh bin hai soona nagar
Hai sab kuch yahan,nahi kuch b magar
Goya apnay hi jaisa hai sara shehar