chalo zindagi may ik baar phir naya saal aaya


chalo zindagi may ik baar phir naya saal aaya
 pata nahee meri zindagi ka urooj ya zawal aaya

kis ki chaahat may guzar gaya yeh poora saal mera
 anjaanay say maray dil mein ik shakhs ka kheyal aya

kisi kay dil may aayee hogi aarzo marnay ki bhi
 magar meri laboo pay khuda say jeenay ka sawal aaya

kafi nahee tha ronay kaliay guzra hua saal
 kay ab us ki yaad mein ronay ke liay ik aur saal aya

gham mat karo chalti rahay gi aisay hi yeh dunya
Magar nikal  na  saka  jo is dil mein ik bar aaya