Skip to main content

Ajab pagal si larki hai

Ajab pagal si larki hai
mujhe har khat main likhti hai
tumhain main yaad aati hoon?
mujhe tum yaad karte ho?
meri baatain satati hai?
meri neendain jagateen hai?
meri aankhain rulaati hai?
DECEMBER ki sunehri dhoop main ab bhi par thelta ho
kisi khamosh raastey sa
koi awaz aati hai?
Tharthati sard ratoon main tum ab bhi chat par jata ho?
kitaboo se tumhare ishq main koi kami aaye?
Ya meri yaad ki shidat sa aankhon main nami aaye?
Ajab pagal si larki hai
mujhe har khat main likhti hai
Jawaban usko likhta hoon
meri masroofiat to daikho suba sa shaam office main
chiraag-e-umar jalta hai
phir uska baad
khaee majbooryan paoo main bairi daal rakhti hai
Mujhay bay-fikar, chahat se bara sapna nahi daikta
Thelnay,jagna,sonay ki mohalat hee nahi miltee
Sitaroon se mila arsa hoa..........naraz hai shayad
Kitaboo se shahgaf ab bhi qayam hai
farq itna para hai ab unha arsa main parta hoon
Tumahain kis na kaha PAGLI
tumhain main yaad karta hoon
Ke main khud ko bhulane ki justujoo main hoon
tumhari na yaad ana ki justujoo main hoon
"Magar ya justujoo meri bht nakam rehti hai
meri din raat main ab bhi tumhari shaam rehti hai
mera lafzoon ki har mala tumhara naam rehti hai
Tumhain kis ne kaha pagli
tumhain main yaad karta hoon
Porani baat hai jo aksar log gungunate hai
unhain hum yaad karta hai jinhai hum bhool jata hai
ajab pagal si larki hai
meri masrofiat to daikho
Tumhain dil sa bhulaoo to tumhari yaad na aye
tumhain dil sa bhulana ki mujhay fursat nahi milti
Aur iss masroof jeewan main
tumhara khat ka ek jumla
tumhain main yaad aati hoon?
Meri chahat ki shiddat main kami hona nahi deti
Agli baar khat main ye jumla nahi likhna
Ajab pagal si larki hai
mujhay phir bhi likhti hai
Mujhe tum yaad karte ho
tumhain main yaad aati hoon??

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng