Skip to main content

mujhey tum bohat yaad aaye.....................!

Iss baar december main mujhey tum bohat yaad aaye
shaam dhaliy tamanna key sarak par taheelty howe
kheza key sokhey pato par chalty howe bareshe main
bhegtey howe,heejre key gum seheety howe,aamawas
ki raat kaatey howe sarde ki dhoop sengtey howe
share aakely parhty aur samjhty howe raat der tuk jagty
howe,chand aur chandani ko taktey howe, khamoshe
sey ansoon bahaty howe,aakely december banatey howe,
mujhey tum bohat yaad aaye.....................!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng