Skip to main content

ham_safar hotaa ko_ii to baa.NT lete duuriyaa.N

ham_safar hotaa ko_ii to baa.NT lete duuriyaa.N
raah chalate log kyaa samajhe.n merii majabuuriyaa.N


muskuraate Khvaab chunatii gun_gunaatii ye nazar
kis tarah samajhe merii qismat kii naamanzuuriyaa.N


haadaso.n kii bhii.D hai chalataa huaa ye kaaravaa.N
zindagii kaa naam hai laachaariyaa.N majabuuriyaa.N


phir kisii ne aaj chhe.Daa zikr-e-manzil is tarah
dil ke daaman se lipaTane aa ga_ii hai.n duuriyaa.N

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.