Skip to main content

Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna!!!!


Ab Ke Saal Kuch Aisa Kerna!!!!!!
Apney Pichley Barah Mah Ke
Dukh Sukh Ka Andaza Kerna
Guzri Yadien Taza Kerna
Sadah Sa Ik Kaghz Le Ker
Bhuley Basrey Pel Likh Laina
Apney Sarey Kal Likh Laina
Phir Us Beetey Ik Ik Pel Ka
Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka
Ik Ik More Ka Ahatah Kerna
Sarey Dost Ikathey Kerna
Sari Subhey Khazir Rakhna
Sari Shamey Pass Bulana
Or Ailawa In Ke Dekhoo
Sarey Mosam Deehan Mai Rakhna
Ik Ik Yad Guman Mai Rakhna
Phir Muhtat Qayass Lagana
Ger To Khushiya Bher Jati Hai
To Phir Tum Ko Meri Taraf Se
" Aney Wala Saal Mubarak "

Aor

Ager Ghum Bher Jay To
Mat Bekar Takaluf Kerna
Dekhoo Phir Tum Aisa Kerna
Meri Khushiya Tum Le Laina
Mujh Ko Apney Ghum De Dena

Ab Ke Saal Kuch Aisa Kerna!!!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng