Skip to main content

Woh Jo Haal Tha Wohi Haal Hai


Woh Jo Haal Tha Wohi Haal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Zindagi Keh Wabaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Bay_Yaqeeni Hai Koo_Ba_Koo
Wohi Na_Umeedi Hai Chaar Soo,,


Jo Bhi Hai Srapaa Sawaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Dast_o_Paa Wohi Chashm_o_Lab Jo Gahin Mein Thay Woh Gahin Mein Hain,,

Wohi Hossloon Jiss Pay Zawaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Intashaar C Zindagi
Hai Wohi Ghubaar C Zindagi,,


Wohi Saans Laina Mahaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Phool Phool Pe **'taliyaan
Hain Darri Howi K Marri Howi,,


Wohi Bay_Hissi Keh Misaal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai,,


Wohi Khawab Hain Keh Azaab Hain
Wohi Roz_o_Shab Keh Saraab Hain,,


Wohi Gardish Ay Mahh_o_Saal Hai
Kahon Kis Trah Naya Saal Hai..

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng