Aakhree chand din december key

Aakhree chand din december key
 hur baras hi giraan guzartay hain
 khahishoon kay nigaarkhanay mein
 kaisay kaisay gumaan guzartay hain
 raftagaan kay bikhartay saalon ki
 aik mehfil si dil may sujti hai
 phone ki diary key safhoon say
 kitnay number pukartay hain mujhay
 jin say murboot benawa ghantee
 ab faqut meray dil may bujtee hai
 kis qadar pyaray pyaray naamoon per
 raingtee budnuma lakeerain see
 meri aankhoon main phail jaatee hain
 doorian daairay banati hain
 hur december kay aakhree din mein
 hur baras ki tarha say ab kay bhi
 diary ik sawal kerti hay
 kiya khaber is baras kay aakhir main
 meray in bechirag safhoon say
 kitnay hi naam kut gaiy ho gain
 hur december mein sochta hoon main
 aik din is tarha bhi hona hai
 rang ko roshni mein khona hai