Skip to main content

Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Lon

Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Lon
Ter Daman ki hawao se lipat ker ro lon

Jaam e may pinay se pehle mera g chahata hai
Bikhari zulfo ki gatao se lipat ker ro lon

Zard Ghuncho ki nigaho mein nigahain dalon
Surkh pholo ki qabaho mein lipat ker ro lon

Ane waley tere raste mein bichao ankhian
Jane waley tere paon se lipat ker ro lon

Apne majbor taqadus k sahare Saghar
Dair o Qaba k Khudao se lipat ker ro lon

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.