Usay kehna
Usay kehna kitabooN main rakhay sookhay hoay kuch phool
Us kay loot aanay ka yaqeen ab talak dilatay haiN
Usay kehna kay us ki jheel si aankhaiN kisi manzer pay cha jaiN
To sab manzer younhi phir bheeg jatay haiN
Usay kehna thandi baraf per koi kisi kay sath chalta hai
To qadmooN kay nishan phir say usi kay loot aanay kay nishaN dil per banatay haiN
Usay kehna keh us ki bheegti aankhooN ka wo aansoo
Sitaray ki trha ab bhi humaiN shab bhar jagata hai
Usay kehna keh barish khirkiyooN pay us k aansoo paint kerti hai
Usi ka naam likhti hai
Usay hi gungunati hai
Usay kehna keh khushboo, chandni, taray, saba, rastay, ghata, kajal
Mohobbat, chandni, shabnam, hawa'aiN, raat, din, badal
Sabhi naraz haiN hum say
Usay kehna judai kay darakhtooN per jo sookhi tehniyaaN haiN
Baraf ki chader
Ki zad maiN haiN
Or un shakhooN pay yadooN kay
Jo patay thay sunehri ho gay haiN
Usay kehna december soo gaya hai
Or yakhbasta wo bheegi january phir loat aai hai
Usay kehna keh loat aay