Skip to main content

Raat Uss ne Poocha tha

Raat Uss ne Poocha tha:
 Tum ko Kaisi Lagti Hai
 Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha:
 Saal-o-Maah ke Baarey mein
 Guftagu ke Kya Maani ?
 Chahey koi Manzir ho
 Dasht ho , Sumnadar ho
 June ho , December ho
 Dharkanoo'n ka Har Naghma
 Manzaroo'n pe Bhaari hai
 Saath Jab Tumhara Ho
 Dil ko Ik Sahara ho
 Aisa Lagta hai, jaise
 Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
 Kuch Nahi Kaha Main ne
 Takti Reh gayi Mujh ko
 Chandni December ki

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng