Skip to main content

Naya Saal




Es Naye Saal Ki Pehli Subha
Jab Tumhare Nain Khulein
Es Naye Saal Ki Pehli Ghari
Jab Tumhare Hath Uthein
Es Naye Saal Ki Pehli Khushi
Jab Tumhare Gale Lage
Es Saal Ka Pehla Hath
Jab Tumhari Simt Barhe
Es Naye Saal Ki Pehli Soch
Jo Tumhare Jeevan Mein Nikhar Laye
To Itnaa Jaan Lena Ke Koi Or Hath Bhi
Tumhare Liye Uthe Zaroor Hain
Jis Ke Dil Se Bhi Yehi Dua Nikli Hai
Woh Nain Hamesha Khushiyaan Dekhen
Woh Mangi Dua Pori Ho Jaye
Woh Gum Door Kahin Bathakte Milen
Woh Sath Wo Hat Kabhi
Gum Se Nahin Choote
Woh Soch Tumhare Muqaddar Ko
Hamesha Urooh Phunchaye
To Kuch Hamare Bare Mein Soch Lena
Keh Koi Hai Jo Na Jane
Kab Se Tumhare Bare Mein
Barsoon Se Soch Raha Hai
Han
In Aate Jate Saloon
Haseen Sooraj Ke Nikalne
To Kahin Shaam Ke Dhalne Mein
Har Pal Haseen Lamhon Mein
Tumhein Koi Soch Raha Hai
Tumhein Koi Soch Raha Hai

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng