Skip to main content

December Ki Baarish May

December Ki Baarish May
Bheegtay Peroo'n Say Pocho
Akela Pan Kya Hai...????
Tanhai Kisay Kehtay Hain?
Seh-Peher Ki Dhuup Ko Tarashna
Aur Barish May Bheegtay Rehna
Jangal Ki Raaho'n May Akelay Chalna
Aur Barish May Bhegtay Rehna..
December Ki Barish May
Leher-dar-Leher Mehekti Hawa Say Pochoo
Khushbo Sa Khayal Rakhne Wale
Tanha Kaise Rehte Hain??
Bhegti hain sard Raatein
December Ki Barish Say Kaho !
Kabhi Jungle K Us Paar Mile
Dhaltay Hon Sham K Saaye main
To Unn Aankhon Say Milay..!!
December Ke Barish Say Kahoo........ !!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng