jab bhi sochoon tujhe



jab bhi sochoon tujhe dard apna barha leta hoon 
phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leta hoon


mah december ki sard raatoon ke waadey yaad karke 
thorey thorey ashk ankhoon se apni baha leta hoon 


kabhi jo ankhoon main terey ashk dekhoon 
khuwab ban ke woh tamam ashk chura leta hoon


yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri 
ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leta hoon


jab bhi koi ghazal terey naam likhoon 
batein likhta hoon tamam magar tera naam chupa leta hoon 


na samjha tu ne mujhe aur na hi mayri mohabbat ko aey dost 
naya saal mubarak khush rehne ki tujhe dua deta hoon