Skip to main content

tere qadamo.n pe sar hogaa qazaa sar pe kha.Dii hogii

tere qadamo.n pe sar hogaa qazaa sar pe kha.Dii hogii
phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii ba.ndagii hogii


nasiim-e-subah gulashan me.n gulo.n se khelatii hogii
kisii kii aakharii hichakii kisii kii dillagii hogii


dikhaa duu.Ngaa sar-e-mahafil bataa duu.Ngaa sar-e-mahashar
vo mere dil me.n ho.nge aur duniyaa dekhatii hogii


mazaa aa jaayegaa mahashar me.n phir sunane-sunaane kaa
zubaa.N hogii vahaa.N merii kahaanii aap kii hogii

tumhe.n daanistaa mahafil me.n jo dekhaa ho to mujarim
nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.