Skip to main content

chupaaye dil meIn Ghamoon ka jahan baithe hain



chupaaye dil meIn Ghamoon ka jahan baithe hain
 tumhaarii bazm mein ham bezabaan baithe hain

ye aur baat ki manzil pe ham pohanch na sake
 magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baithe hain

fugaa.n hai dard hai soz-o-firaaq-o-daag-e-alam
 abhii to ghar mein bohat meharabaan baithe hain

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii
 lutaa ke ishq mein naam-o-nishaan baithe hain

vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
 jise shariat-e-ehasaas maan baithe hain

hai maikadon kii bahaaron se dostii 'Sagar'
 baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baithe hain

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.