Skip to main content

Naye Saal Ka Suraj !




Jab Bhi Sochoon Tujhe Dard Apna Barha Leta Hoon
Phir Har Naye Saal Ka Suraj Dekh Kar Muskura Leta Hoon,


Main December Ki Sard Raton K Wady Yaad Kar K
Thory Thory Ashk Ankhon Se Apni Baha Leta Hoon,


Kabhi Jo Ankhon Maen Tere Ashk Dekhoon
Khuwab Ban K Woh Tamam Ashk Chura Leta Hoon,


Yeh Adat To Husn-O-Wafa K Qayel Janty Hain Meri
Keh " Piyar Mily Jahan Bhi Sir Apna Jhuka Leta Hoon,


Jab Bhi Koi Ghazal Tere Naam Likhoon
Batein Likhta Hoon Tamam Magar Tera Naam Chupa Leta Hoon,


Na Samjha Tu Ne Mujhe " Aor Na He Meri Muhabbat Ko Ay Dost
Naya Saal Mubarak " Khush Rehny Ki Tujhe Dua Deta Hoon !

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng