Skip to main content

jab kabhii teraa naam lete hai.n

jab kabhii teraa naam lete hai.n
dil se ham intaqaam lete hai.n

merii barbaadiyo.n ke afasaane
mere yaaro.n kaa naam lete hai.n

bas yahii ek jurm hai apanaa
ham muhabbat se kaam lete hai.n

har qadam par gire par siikhaa
kaise girato.n ko thaam lete hai.n

ham bhaTak kar junuu.N kii raaho.n me.n
aql se intaqaam lete hai.n

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.