Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2013

Sach kuch nahi rakha hai yeh aankhon ki seep mein

Mujhe uss nagar ki hai justuju

Justajoo khoye huon ki umar bhar karte rahe

tamannaa kaa sar yuuN utaaraa gayaa

tamannaa kaa sar yuuN utaaraa gayaa har ek biich raste meN maaraa gayaa maiN kis kis kii aavaaz kii par dauDtaa mujhe chau-taraf se pukaaraa gayaa vahaaN zaKhm par baat hii kab huii faqat aaNsuoN ko shumaaraa gayaa havas thii use merii har chiiz kii magar mujhse sab kuchh na haaraa gayaa

ye sannaaTaa bohat mahangaa paDegaa

ye sannaaTaa bohat mahangaa paDegaa use bhii phuuT kar ronaa paDegaa vaahii do chaar chehre ajnabii se unhiiN ko phir se dohraanaa paDegaa koii ghar se nikaltaa hii nahiiN hai havaa ko thak ke so jaanaa paDegaa yahaaN suuraj bhii kaalaa paD gayaa hai kahiiN se din bhii mangvaanaa paDegaa voh achche the jo pahle mar gaye haiN hameN kuchh aur pachhataanaa paDegaa

na kar shumaar ki har shae gini nahiiN jaatii

na kar shumaar ki har shae gini nahiiN jaatii ye zindgii hai hisaaboN se jii nahiiN jaatii ye narm lahja, ye rangiini-e-bayaaN, ye Khuluus magar laDaaii to aise laDii nahiiN jaatii sulagte din meN thii baahar, badan meN shab ko rahii bichhaD ke mujhse bas ek tiirgi nahiiN jaatii naqaab Daal do jalte udaas suuraj par andhere jism meN kyuuN roshnii nahiiN jaatii har ek raah sulagte hue manaazir haiN magar ye baat kisii se kahii nahiiN jaatii machalte paanii meN uuNchaaii kii talaash fuzuul hai pahaaD par to koii bhii nadii nahiiN jaatii

shaam-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz kii baateN karo

shaam-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz kii baateN karo be-Khudi baRhtii chalii hai raaz kii baateN karo yeh sukuut-e-naaz, yeh dil ki ragoN ka TuuTnaa Khamoshii meN kuchh shikaste-saaz kii baateN karo nikhat-e-zulf-e-pariishaaN, daastaan-e-sham-e-Gham sub'h hone tak isii andaaz kii baateN karo kuchh qafas kii tiliyoN se chhan raha hai nuur sa kuchh fiza kuchh hasrat-e-parvaaz kii baateN karo

sar meN saudaa bhi nahiiN, dil meN tamannaa bhi nahiiN

sar meN saudaa bhi nahiiN, dil meN tamannaa bhi nahiiN lekin is tark-e-mohabbat ka bharosaa bhii nahiiN dil ki gintii na yagaanoN meN, na begaanoN meN lekin us jalva-gaah-e-naaz se uThtaa bhii nahiiN meherbaanii ko mohabbat nahiiN kahte aye dost aah ab mujhse terii ranjish bejaa bhii nahiiN aah ye majma-e-ahbaab, ye bazm-e-Khamosh aaj mehfil meN Firaaq suKhan-aaraa bhii nahiiN

kisii kaa yuuN to huaa kaun umar bhar phir bhii

kisii kaa yuuN to huaa kaun umar bhar phir bhii ye husn-o-ishq to dhokaa hai sab, magar phir bhii hazaar baar zamaana idhar se guzraa naii naii hai magar kuchh terii rahguzar phir bhii khushaa ishaara-e-paiham, zih-e-sukuut nazar daraaz hoke fasaana hai muKhtasar phir bhii jhapak rahii haiN zamaan-o-makaaN kii bhii aaNkheN magar hai qaafla aamaada-e-safar phir bhii palaT rahe haiN Gariibul vatan, palaTnaa thaa voh kuucha ruukash-e-jannat ho, ghar hai ghar, phir bhii terii nigaah se bachne meN umar guzrii hai utar gayaa rag-e-jaaN meN ye neshtar phir bhii

rukii rukii sii shab-e-marg Khatm par aaii

rukii rukii sii shab-e-marg Khatm par aaii voh pau phaTii, voh naii zindagii nazar aaii ye moR voh hai ki parchhaaiyyaaN bhii dengii na saath musaafiroN se kaho, uskii rahguzar aaii fizaa subah-e-tabassum-e-bahaar thii lekin pohaNch ke manzil-e-jaanaaN pe aaNkh bhar aaii kahaaN har ek se insaaniyat kaa baar uThaa ki ye balaa bhii tere aashiqoN ke sar aaii zaraa visaal ke baad aaiinaa to dekh aye dost! tere jamaal kii doshiizgii nikhar aaii

shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa

shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa baGal meN sanam thaa, Khudaa meherbaaN thaa voh shab thii ki thii roshnii jismeN din kii zamiiN par se ek nuur taa aasmaaN thaa nikaale the do chaaNd usne muqaabil voh shab sub'h-e-jannat ka jis pe gumaaN thaa uruusii kii shab kii halaavat thii haasil faraHnaak thii ruuH, dil shaadmaaN thaa bayaaN khwaab kii tarah jo kar rahaa hai ye qissa hai jab kaa ki Aatish javaaN thaa

ashvoN ko chain hii nahiiN aafat kiye baGair

ashvoN ko chain hii nahiiN aafat kiye baGair tum, aur maan jaao sharaarat kiye baGair (ashva=coquetry, blandishment, playfulness) ahl-e-nazar ko yaar dikhaanaa rah-e-vafaa aye kaash! zikr-e-dozaKh-o-jannat ke baGair ab dekh us kaa haal ki aataa na thaa qaraar khud tere dil ko, jis pe inaayat kiye baGair aye hamnashiiN muhaal hai naaseh kaa Taalnaa yah, aur yahaaN se jaayeN nasiihat kiye baGair tum kitne tund-khuu ho ki pahluu se aaj tak ek baar bhii uThe na qayaamat kiye baGair

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa

soz-e-Gam de mujhe usne ye irshaad kiyaa jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazaad kiyaa vo kareN bhii to kin alfaaz meN teraa shikwa jinko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa itnaa maanuus huuN fitrat se kalii jab chaTkii jhuk ke maiNne ye kahaa, ''mujhse se kuchh irshaad kiyaa?'' mujhko to hosh nahiiN, tum ko Khabar ho shaayad log kahte haiN ki tumne mujhko barbaad kiyaa

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai

qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai chale kitnaa hii koii bach ke Thokar khaa hii jaataa hai nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa, phir bhii hujuum-e-kashmkash meN aadmii ghabraa hii jaataa hai khilaaf-e-maslahat maiN bhi samajhta huN, magar vaaez vo aate haiN to chehre pe taGaiyyur aa hii jaataa hai havaaeN zor kitnaa hii lagaaeN aaNdhiyaaN ban kar magar jo ghir ke aataa hai vo baadal chhaa hii jaataa hai shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii musiibat meN khayaal-e-aish-e-rafta aa hii jaataa hai samajhtii haiN maal-e-gul meN kyaa zor-e-fitrat hai sahar hote hii kaliyoN ko tabassum aa hii jaataa hai

arz-o-samaa ko saaGhar-o-paimaana kar diyaa

arz-o-samaa ko saaGhar-o-paimaana kar diyaa rindoN ne kaaynaat ko maikhaana kar diyaa aye husn! daad de ki tamanna-e-ishq ne terii hayaa ko ashva-e-turkaana kar diyaa qurbaaN tere ki ek nigah-e-iltfaat ne dil ki jhijhak ko jurrat-e-rindaana kar diyaa dunyaa ne har fasaana 'haqiiqat' banaa diyaa hamne haqiqatoN ko bhi 'afsaana' kar diyaa aavaaz do ki jins-e-do aalam ko Josh ne qurbaan-e-yak tabasuum-e-janaana kar diyaa

ba-qadre-paimana-e-taKhayyul surur har dil meN hai khudii kaa

ba-qadre-paimana-e-taKhayyul surur har dil meN hai khudii kaa agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaye aadmii kaa hai rooh taariikiyoN mein hairaaN, bujhaa huaa hai chiraaG-e-manzil kahiiN sar-e-raah ye musaafir patak na de bojh zindagii kaa bas ek ehsaas-e-naarsaai, na josh is meN, na hosh us meN junooN pe haalat ruboodgii kii, khirad pe aalam Ghunuudgii kaa Khudaa ki rahmat pe bhuul baiThuuN, yahii na maanii haiN iske waaez voh abr ka muntazir khaDaa ho, makaaN jaltaa ho jab kisii kaa voh laakh jhukvaa le sar ko mere magar ye dil ab nahiiN jhukegaa ki kibriyaaii se bhii zyaada mizaaj naazuk hai bandagii kaa

ishq meN laa-javaab haiN ham loog

ishq meN laa-javaab haiN ham loog maahtaab, aaftaab haiN ham loog garche ahl-e-sharaab haiN ham loog ye na samjho Kharaab haiN ham loog shaam se aa gaye jo piine par subah tak aaftaab haiN ham loog jab milii aaNkh, hosh kho baiThe kitne haazir-jawaab haiN ham loog hamse puuchho Jigar ki sarmasti mahram-e-Aa.njanaab haiN ham loog

jab ishq sikhaata hai aadaab-e-Khud-aagaahii

jab ishq sikhaata hai aadaab-e-Khud-aagaahii khulte haiN GhulaamoN par, asraar-e-shahanshaahi 'Attaar' ho, 'Rumi' ho, 'Raazi' ho, 'Ghazaali' ho kuchh haathh nahiiN aataa, be-aah-sahargaahii aye taaer-e-laahuutii, us rizq se maut achchhii jis rizq se aatii ho, parvaaz meN kotaahii 'Daara'-o-'Sikandar' se voh mard-e-faqiir aulaa ho jiskii faqiirii meN buu-e-Asadullaahii* aaiin-e-javaaN-mardaaN, haq-goii o bebaakii Allah ke sheroN ko aatii nahii ruubaahii

hamse bhaagaa na karo duur GhizaaloN kii tarah

hamse bhaagaa na karo duur GhizaaloN kii tarah hamne chaahaa hai tumheN chaahne vaaloN kii tarah Khud-ba-Khud niind sii aaNkhoN miiN ghulii jaatii hai mahkii mahkii hai shab-e-Gham tere baaloN kii tarah tere bin raat ke haathoN pe ye taaroN ke ayaaGh Khuubsuurat haiN magar zeher ke pyaaloN kii tarah aur kyaa is se zyaadah koii narmii bartuuN dil ke zaKhmoN ko chhuaa hai tere gaaloN kii tarah gungunaate hue dar aa kabhii in siinoN meN terii Khaatir jo mahakte haiN shivaaloN kii tarah

Bahte darya men utar jana tha.

Bahte darya men utar jana tha.  Khak the aur bikhar jana tha.  Us se bichhre to zamana beeta  Ab talak zakhm ko bhar jana tha.  Man leta hun tujhe hi manzil!!  Ab kahaan yaad kidhar jana tha.  Hausle ham ne bachakar rakkhe  Jab hamen had se guzar jana tha.  Jaan! is hijr pe rona kaisa!!!  Ek din yun bhi to mar jana tha.

تنگ آگئے ہیں کیا کریں اس زندگی سے ہم

تنگ آگئے ہیں کیا کریں اس زندگی سے ہم گھبرا کے پوچھتے ہیں اکیلے میں جی سے ہم مجبوریوں کو اپنی کہیں کیا کسی سے ہم لائے گئے ہیں ، آئے نہیں ہیں خوشی سے ہم کمبخت دل کی مان گئے ، بیٹھنا پڑا یوں تو ہزار بار اُٹھے اس گلی سے ہم یارب! بُرا بھی ہو دلِ خانہ خراب کا شرما رہے ہیں اس کی بدولت کسی سے ہم دن ہی پہاڑ ہے شب غم کیا ہوکیا نہ ہو گھبرا رہے ہیں آج سرِ شام ہی سے ہم دیکھا نہ تم نے آنکھ اٹھا کر بھی ایک بار گزرے ہزار بار تمہاری گلی سے ہم مطلب یہی نہیں ہے دلِ خانہ خراب کا کہنے میں اس کے آئیں گذر جائیں جی سے ہم چھیڑا عدو نے روٹھ گئے ساری بزم سے بولے کہ اب نہ بات کریں گے کسی سے ہم تم سن کے کیا کرو گے کہانی غریب کی جو سب کی سن رہا ہے کہیں گے اُسی سے ہم محفل میں اس نے غیر کو پہلو میں دی جگہ گزری جو دل پہ کیا کہیں بسمل کسی سے ہم *****

سونچنے کا بھی نہیں وقت میسّر مجھ کو

سونچنے کا بھی نہیں وقت میسّر مجھ کو اِک کشش ہے جو لئے پھرتی ہے در در مجھ کو اپنا طوفاں نہ دکھائے وہ سمندر مجھ کو چار قطرے نہ ہوئے جس سے میسر مجھ کو عمر بھر دیر و حرم نے دئیے چکر مجھ کو بے کسی کا ہو بُرا لے گئی گھر گھر مجھ کو شکر ہے رہ گیا پردہ مری عُریانی کا خاک کُوچے کی تِرے بن گئی چادر مجھ کو چُپ رہوں میں تو خموشی بھی گلہ ہو جائے آپ جو چاہیں وہ کہہ دیں مِرے منہ پر مجھ کو خاک چھانا کئے ہم قافلے والوں کے لئے قافلے والوں نے دیکھا بھی نہ مُڑکر مجھ کو آپ ظالم نہیں، ظالم ہے مگر آپ کی یاد وہی کمبخت ستاتی ہے برابر مجھ کو انقلابات نے کچھ ایسا پریشان کیا کہ سوجھائی نہیں دیتا ہے ترا درمجھ کو جُرأت شوق توکیا کچھ نہیں کہتی لیکن پائوں پھیلانے نہیں دیتی ہے چادر مجھ کو مل گئی تشنگی شوق سے فرصت تا عمر اپنے ہاتھوں سے دیا آپ نے ساغر مجھ کو اب مرا جذبۂ توفیق ہے اور میں بسملؔ خضر گم ہو گئے رَستے پہ لگا کر مجھ کو

سب دَم بخود ہیں نبض کی رفتار دیکھ کر

سب دَم بخود ہیں نبض کی رفتار دیکھ کر تم ہنس رہے ہو حالتِ بیمار دیکھ کر سودا وہ کیا کرے گا خریدار دیکھ کر گھبرا گیا جو گرمی بازار دیکھ کر اللہ تیرے ہاتھ ہے اب آبروئے شوق دم گھٹ رہا ہے وقت کی رفتار دیکھ کر دیتا کہاں ہے وقت پڑے پر کوئی بھی ساتھ ہم کو مصیبتوں میں گرفتار دیکھ کر آتے ہیں میکدے کی طرف سے جناب شیخ سرگوشیاں ہیں لغزشِ رفتار دیکھ کر غیروں نے غیر جان کے ہم کو اُٹھا دیا بیٹھے جہاں بھی سایۂ دیوار دیکھ کر آتے ہیں بزمِ یاران میں پہچان ہی گیا میخوار کی نگاہ کو میخوار دیکھ کر اس مدھ بھری نگاہ کی اللہ رے کشش سو بار دیکھنا پڑا ایک بار دیکھ کر تم رہنمائے وقت سہی پھر بھی چند گام چلنا پڑے گا وقت کی رفتار دیکھ کر وقتِ سحر گذر گئی کیا کیا نہ پوچھئے گردن میں ان کی سوکھے ہوئے ہار دیکھ کر تلچھٹ مِلا کے دیتا ہے رندوں کو ساقیا ساغر پٹک نہ دے کوئی ہشیار دیکھ کر بسملؔ کو کیا ہے چادرِ رحمت رسولؐ کی سائے میں لے ہی لے گی گنہگار دیکھ  کر

ہلِ دیدہ ہیں بہت ، دیدہء بیدا رنہیں

ہلِ دیدہ ہیں بہت ، دیدہء بیدا ر نہیں ورنہ بے نور کہیں نرگسِ بیما ر نہیں دورِ حاضر میں ذلیخائے سیاست کے عوض کون یوسف ہے جو بے وجہ گرفتار نہیں لغزشیں کچھ رشی منیوں سے بھی ہوجاتی تھیں اور ہم عا م سے انسان ہیں، اوتار نہیں ان کے انداز سے لگتا تو یہی ہے اکثر  لوگ حق دار ہیں جنت کے، طلبگار نہیں کون سا ہاتھ ہے جس میں نہیں پتھر کوئی کون سا فرد ہے ایسا جو گنہگار نہیں گھر گیا میں بھی مسائل گہہِ عالم میں تو کیا وہ بھی پہلی سی محبت کا طلب گار نہیں نغمگی سے مرے اشعار ہیں خالی آزرؔ  میرے افکار میں پازیب کی جھنکار نہیں

kisi ko itna pyar do k had na rahe

kisi ko itna pyar do k had na rahe magar aitbar bhi  itna kro k shak na rahe wafa itni krna k bewafai na rahe aur dua bas itni kro k judai na rahe

Hame Samjhao Na ‘Mohsin’ Hamen Maloom Hai Sab Kuch,

Hame Samjhao Na ‘Mohsin’ Hamen Maloom Hai Sab Kuch, Mohabbat Mashwara Hoti To, Tum Say Pooch Kar Karte

Rooh Azad Ho, Majboor-E-Taqaza Na Rahay,

Rooh Azad Ho, Majboor-E-Taqaza Na Rahay, Hai Tamana K Mujhay Koi Tamana Na Rahay

Us K Hath Ka Khilona He Sahi Khush Hoon May..

Us K Hath Ka Khilona He Sahi Khush Hoon May.. Kuch Dair K Lye He Sahi Mujhe Chahta To Hai..

Tu Ne Chaha Hi Nahi Halaat To Badal Sakte The,

Tu Ne Chaha Hi Nahi Halaat To Badal Sakte The, Tere Aansu Meri Aankhon Se Nikal Sakte The… Tu Ne Samjha Hi Nahi Wafa Ki Qeemat Ko Warna Narm Lafzon Se To Pather Bhi Pighal Sakte The… Hum To Therey Hi Rahe Jheel Ke Pani Ki Tarha Agar Dariya Bante To Bohat Door Nikal Sakte The.

Jab Saza Dey Hi Chuke Ho To Haal Kiya Pochte Ho

Jab Saza Dey Hi Chuke Ho To Haal Kiya Pochte Ho Hum Agar Be-Gunah Nikle To Tumhein Afsos Hoga

Bahot Naaz Tha Mujhe APney Chahney Walon Pr

Bahot Naaz Tha Mujhe APney Chahney Walon Pr Mein Aziz Tha Sab Ko Magar Zaroorton K Laye

Zara Tum Chal Ke Aa Jatey

Zara Tum Chal Ke Aa Jatey, Zara Ham Jhuk Ke Mil Letey Shirakat Se Chala Kartey Hain Karobar Duniya Ke

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nhi Mujhe

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nhi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaise Du Usne To Dil Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Sawan Ki Hawaon Mein Zakhm Jag Uthtey Hain

Sawan Ki Hawaon Mein Zakhm Jag Uthtey Hain Shehar-E-Dil Ki Fizaaon May Alm Jag Uthtey Hain Surgazisht Likhney Ko Jab Bhi Kagaz Uthata Hon Khiyal Ki Zameenon May Talatum Jag Uthtey Hain Baazecha-E-Atfaal May Nanhey Nanhey Phool Mehakte Dekhon Tu Dard Key Sehraaon May Marhan Rog Bantey Hain Meri Basti May Kabhi Mehfilain Saja Karti Thein Khoon-E-Insan Ki Khusboun Se Ab Sar-E-Sham Soog Biliktey Hain Ghar Se Nikalna Chaho Tu Ujaalon May Hi Nikalna Meray Arz-E-Pak Ki Galiyun May Har Sham Naag Nikaltey Hain

Woh Muj Se Mere Khamoshi Ke Wajah Poochta Hai

Woh Muj Se Mere Khamoshi Ke Wajah Poochta Hai Kitna Pagal Hai Rat Ke Sanate Ke Wajah Poochta Hai Woh Muj Se Mere Ansoo Ke Wajah Poochta Hai Kitna Pagal Hai Barish Ke Barasne Ke Wajah Poochta Hai Woh Muj Se Mere Mohabbat Ke Bari Me Poochta Hai Kitna Pagal Hai Khod Apne Bari Me Poochta Hai Woh Muj Se Mere Wafa Ke Inteha Poochta Hai Kitna Pagal Hai Sahil Pe Khada Hai Samunder Ke Gehrai Poochta Hai

Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga

Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga Ab Bhi Bhegge Brish Mein Woh Bn Kay Chatri Chalta Hoga Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa ?

Suna Hay Barish Usay Bhi Pasand Hay

Suna Hay Barish Usay Bhi Pasand Hay Wo Bhi Meri Tarhan Barasti Bundon Ko Hathon May Samayt Leti Hay Suna Hay Phool Usay Bhi Pasand Hain Wo Bhi Meri Tarhan Phoolon Say Ghanton Batain Karti Rehti Hay Suna Hay Chand Usay Bhi Pasand Hay Wo Bhi Meri Tarhan Raat Raat Bhar Usay Takti Rehti Hay Suna Hay Tanhai Usay Bhi Pasand Hay Wo Bhi Meri Tarhan?????. Par Wo Tanha Beth Kar Kis Ko Sochti Hay? Sari Batain Sachi Hain Magar Ye Bhi Sach Hay Main Jo Uss K Baray May Har Baat Ki Khabar Rakhta Hon Ye Bhi Janta Hon K Uss Ki Sochon Ka Mahwar Main Nahi

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Phir shab-e-Gham ne mujhe shakl dikhaaii kyo’nkar

Phir shab-e-Gham ne mujhe shakl dikhaaii kyo’nkar ye balaa ghar se nikaalii huii aaii kyo’nkar tuu ne kii Ghair se merii buraaii kyo’nkar gar na thii dil me’n to lab par tere aaii kyo’nkar tum dilaazaar-o-sitamgar nahii’n mai’n ne maanaa maan jaayegii ise saarii Khudaaii kyo’nkar aaiinaa dekh ke vo kahane lage aap hii aap aise achchho’n kii kare koii buraaii kyo’nkar kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaa itane se dil me’n hai itano’n kii samaaii kyo’nkar daagh kal tak to duaa aap kii maqabuul na thii aaj muu’nh maa’ngii muraad aap ne paaii kyo’nkar

Na ravaa kahiye na sazaa kahiye

Na ravaa kahiye na sazaa kahiye kahiye kahiye mujhe buraa kahiye dil me’n rakhane kii baat hai Gham-e-ishq is ko hargiz na barmalaa kahiye vi mujhe qatl kar ke kahate hai’n maanataa hii na thaa ye kyaa kahiye aa gaii aap ko masihaaii marane vaalo ko marhabaa kahiye hosh udane lage raqiibo’n ke "Daagh" ko aur bevafaa kahiye

Un se ummiid-e-ruunumaaii hai

Un se ummiid-e-ruunumaaii hai kyaa nigaahon kii maut aaii hai dil ne Gham se shikast khaaii hai umr-e-raftaa terii duhaaii hai dil kii barbaadiyon pe naazaan huun fatah paakar shikast khaaii hai mere maaabad nahiin hai dair-o-haram ehatiyaatan jabiin jhukaaii hai vo havaa de rahe hain daaman kii haaye kis vaqt niind aaii hai khul gayaa un kii aarazuu men ye raaz ziist apanii nahiin paraaii hai duur ho Ghunche merii nazar se tuu ne merii hansii churaaii hai gul fasurdaa chaman udaas 'Shakeel' yuun bhii aksar bahaar aaii hai

Khush huun ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa

Khush huun ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa Khaalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa kaafii hai mere dil ki tasallii ko yahii baat aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa apanon ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath duniyaa men koii dost mere kaam to aayaa wo subah kaa ehasaas ho yaan merii kashish ho Duubaa hua Khurshiid sar-e-baam to aayaa log un se ye kahate hain ki kitane hain "Shakeel" aap is husn ke sadaqe men meraa naam to aayaa

Meri Ghalati

Meri Takmeel Mein Hai Shamil Kuch Tere Hissay

Mukhtasar Baat Yeh Hai K Tere Bina

Fursat agar miley to parhna mujhe zaroor

Us Zakham ko bharne me bohat dair lagti hai.

Mohabbat

Mansoob thay jo loog meri zindagi ke saath

khayal tera to sans jaisa hai .

Aashiqui ka in dino urooj pe hai kaam

BeWafai Ki Sab Kitabon Mein

yeh jo hum hein ehsaas mein jalty hoye loog

Karta to hai woh yaad mujhe chahat se magar

Itna kuch ho raha hai dunya mein

uth kar to aa gaye hein

soch

Nae baat nahin

Ab Junoon Kab Kisi K Bas Mein Hai,

ye jo dunya hai ' saraaye hai guzar hone tak

ye jo dunya hai ' saraaye hai guzar hone tak  zindagi ik tamaasha hai basar hone tak  tujh se bichraa tou mere dil ka ajab haal hua  yani zinda hoon tujhe gham ki khaber hone tak kis ko maloom k ik pal main yahan kia hojaye meri haalat pe teri aik nazer hone tak ghar ki deewaar pe jalta ye diya sochta hai  kia bharosa hai yahan dam ka sehar hone tak koozah gar ho k musawwer ho k shaa'er ho koi haath kutt jatey hain izhaar e hunar hone tak

kis terah kaayinaat main tanha hua hoon main

kis terah kaayinaat main tanha hua hoon main har manzil e hayat pe bikhra hua hoon main laaon kahan se ab wo samander ki wussa'ten muddat se apni zaat main simta hua hoon main mushkil nahin hoon itna samjh main na aa sakoon her chund apne aap se uljhaa hua hon main ab yaad e raftagaan ki bhi fursat nahin mujhe arse se apni yaad main khoya hua hoon main her roz mere ser naye sooraj ka bojh ha her raat apni aag main nikhra hua hoon main

apni aankhon k dareechey main chupa le mujh ko

apni aankhon k dareechey main chupa le mujh ko too maseeha hai bikherne se bacha le mujh ko tere aariz pe khile hain kayi khush rang gulaab main bhi ik zakhm hoon chehre pe saja le mujh ko apna saya bhi yahan saath nahin deta hai hijer k dasht se ab kon nikaale mujh ko haath ko haath sujhaayi nahin deta hai yahan in andheron main bhala kon sambhale mujh ko meri aankhon main tera aks hai daaem abaad too bhi khushboo ki terah dil main basa le mujh ko kuch shikayat hai ager tujh se tou bas itni hai kerdia too ne bhi duniya k hawale mujh ko

dekho ye dard e hijer bhi kia kaam ker gaya

dekho ye dard e hijer bhi kia kaam ker gaya main khud bhi apne jism k ander bikherr gaya yaadon ki taiz dhoop main saaya kahin na tha main aatish ee faraaq main jal ker nikherr gaya zinda tha meri ankh main muddat se aik khwab kal raat ittefaq se wo khwaab merr gaya ab meri chahaton main bhi khushboo nahin rahi teri wafa se aaj wo rang e aser gaya tujh se juda hue to kayi saal hogaye ye zehar meri rooh k ander uterr gaya chehre pe yun likha tha tamanna ka marsiya main aaieney main apni hi soorat se derr gaya

abhi shab hai tere khayal ki abhi din hain mere malaal k

abhi shab hai tere khayal ki abhi din hain mere malaal k wohi silsile hain faraaq k wohi massaley hain wisaal k kabhi aye ghazaal e rameedakhoo mere dashtejaan ki bhi sair ker k dikhaoon zakhm judaayi k'k sunaaon karb malaal k inhi gardishon main zamaney ki sabhi raiza raiza bikher gaye mager ik tera shaoor e gham rakha jis ne mujh ko sanbhaal k chali aik aisi ajab hawa k bicherr k mujh se wo reh gaye mere humsafer mere humnasheen jo gawah thay mere haal k  too gaya tha mujh se bicherr k jab usi aik lamhey se humnafas wohi roz o shab hain abhi talak wohi silsiley mah o saal k meri aankh main tere khwaab hain mere dil main teri hi yaad hai hain wohi jawab abhi talak mere lab pe tere sawaal k

aankhon main kis saraab k manzar hain in dinon

aankhon main kis saraab k manzar hain in dinon hum hud e aitbaar se baahir hain in dinon  bikhre huay hain shehar k raston pe misl e khaak  yaani hawa k rehm o karam pe hain in dinon baahir hi nahin nikalte mubaada malaal ho  hum is liye makaan k ander hain in dinon lab izn e guftugoo ko taraste hain aaj kal ronay main donon aankhain samander hain in dinon nazaargi k zakhm hain aur rahguzaar e shehar goya halaak rasm e sitamgar hain in dinon kiya or tum se khul k kahain apna haal e zaar  mayoosi or umeed barabar hain in dinon

Jism sehra hochuke hain zehan banjar hogaye

Jism sehra hochuke hain zehan banjar hogaye  hum kahan zinda hain dekho hum to patther hogaye aankhen qehat e aab se weeran hoti jati hain yani mausam hi dukhon k ab muqadder hogaye  shehar main ik behisi ki rou chali hai in dinon Aashnaa na Aashna sab hi baraber hogaye baad ik muddat k jab dekha use to khud bakhud zehan main roshan gaye lamhon k manzer hogaye aise doobey hain k ab apna nishaan milta nahin Aagahi k zakhm bhi gehrey samander hogaye

Wo mulaqaat , mulaqaat se aage n badhi

Wo mulaqaat , mulaqaat se aage n badhi hai ! wo baat , faqat baat se aage n badhi baat hoti to khayalaat bhi mil jaate magar baat ik-tarfa khayalaat se aage n badhi be-qarari thhi ajab , jisme thha poshida qaraar be-qaraari bhi, shuruaat se aage n badhi kya khabar hoti,ke kya rang hai, kya mausam hai zindagi gardish-e-haalaat se aage n badhi mausm-e-gul bhi thha yu`n to, nazar aaya n magar rut meri aankho`n ki barsaat se aage n badhi zehn bhi chaal zamaane ki kabhi chal n saka dil ki raftaar bhi jazbaat se aage n badhi laakh chahaa ki musarrat pe kahu`n koi ghazal ye zuba`n dard ke naghmaat se aage n badhi wo sawalaat-e-musalsal hi thhe mubham`kausar` zindagi chand jawaabaat se aage n badhi

Lapete shaan , liye aan baan bethha raha

Lapete shaan , liye aan baan bethha raha thha khaali haath , daboche gumaam bethha raha zameen paaon ke neeche se nikli jaati thhi uthhai sar pe magar aasmaam bethha raha bas ik khushi ki hi qeemat nahi chukaai gayi liye wo haathho`n me dono jahaan bethha raha laqeerei`n haath se ghum ho gayi`n naseebo`n ki sajai maathhe pe unke nishaan bethha raha safar ki gard se`kausar`wo dhaamp kar chehra tamaam umr hi odhe thakaan bethha raha

Udaas aa.Nkho.n se aa.Nsuu nahii.n nikalate hai.n

Udaas aa.Nkho.n se aa.Nsuu nahii.n nikalate hai.n  Ye motiyo.n kii tarah siipiyo.n me.n palate hai.n  Ghane dhue.N me.n farishte bhii aa,Nkh malate hai.n  Tamaam raat khajuuro.n ke pe.D jalate hai.n  Mai.n shaah raah nahii.n, raaste kaa patthar huu.N  Yahaa.N savaar bhii paidal utar kar chalate hai.n  Y.nhe.n kabhii na bataanaa mai.n unakii aa.Nkhe.n huu.N  Vo log phuul samajhakar mujhe masalate hai.n  Ye ek pe.D hai, aa is se milakar ro le.n ham  Yahaa.N se tere mere raaste badalate hai.n  Ka_ii sitaaro.n ko mai.n jaanataa huu.N bachapan se  Kahii.n bhii jaauu.N mere saath saath chalate hai.n

Ajeeb shaks tha har ek se pyar mangta tha

Aag ho to

Thoda-sa aks chaNd ke paikar meiN daal de

Thoda-sa aks chaNd ke paikar meiN daal de Tu aake jaan raat ke manzar meiN daal de. Jis din meri jabiN kisi dehleez par jhuke Us din khuda shigaaf mere sar meiN daal de. Allaah tere sath hai, mallaah ko na dekh Ye tooti-phooti naav samandar meiN daal de. Aa tere maalo-zar ko maiN takdees baksh duN La apnaa maalo-zar meri thokar meiN daal de. Bhaag aise rahnuma se jo lagta hai khijr-sa Jaane ye kis jagah tujhe chakkar meiN daal de. Is_se tere makaan ka manzar hai badnuma Chingari mere phoos ke chhappar meiN daal de. Maine panaah dii tujhe barish ki raat meiN Tu jate-jate aag mere ghar meiN daal de. Ae ‘kaif’ jaagte tujhe pichhlaa pahar huaa Ab laash jaise jism ko bistar meiN daal de.

Daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile

Daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile ham ko ye tohafe tumhen dost banaane se mile ham tarasate hii taraste hii tarasate hii rahe  vo falaane se falaane se falaane se mile Khud se mil jaate to chaahat kaa bharam rah jaataa  kyaa mile aap jo logo’n ke milaane se mile kaise maane ke unhe’n bhuul gayaa tuu ai 'Kaif'  un ke khat aaj hame’n tere sarahaane se mile

Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN,

Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN, tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN, (karam-farmaaiyaaN : favours) zindagii shaayed isii kaa naam hai, duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN, kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat, karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN, kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar, aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN, aik paikar meN simaT kar rah gayiiN, KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN, (paikar : appearance; zebaaiyaaN :  gracefulness; raanaaiyaaN : beauty) zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN, badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN, “Kaif” paida kar samandar kii tarah, vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN. (vus’ateN : expanse)

Ye kaisi rasm tere shah'r mei'n rawaa paaoo'n?

Ye kaisi rasm tere shah'r mei'n rawaa paaoo'n? Jis ajnabee se miloo'n,uss-ko aashnaa paaoo'n ! Samajh-ke, soch-ke ek baar phir likhoo'n wohi naam, Phir ek gunaah karoo'n , aur ek sazaa paaoo'n. Mujhe khabar nahii'n kuchh faaslo'n ki saazish ki, Usay qareeb se dekhoo'n toh jaane kyaa paaoo'n ? Ghutann  ka mauj-e-sabaa se sulook laa- maaloom ? Dareecha band rakhoo'n ya khulee hawaa paaoo'n. Na-jaane kaun-si pehchaan inteha hai meri ? Har aaine mei'n  koee shakhs doosraa paaoo'n ! Lubhaane lagte hai'n  'Shahid'  kuchh aashnaa sajde, Labo'n se lipti-hui jab bhi ek duaa paaoo'n .

Koee manzar, na mausam saamne hai,

Koee manzar, na mausam saamne hai, Magar wo hai, ke har-dam saamne hai. Mahabbat sar-bulandi chaahti hai, Phir ek aanchal ka parcham saamne hai, Kahii'n khushboo,kahii'n jhankaar-si hai, Wohi toh hai, jo paiham saamne hai !! Meri aa'nkho'n se kab ojhal nahii'n hai? Wo ek lamha, jo har-damm saamne hai. Wo kya shai thi, khato'n mei'n bolti thi ! Ye kya shai hai, mujassam saamne hai !!

Dil ke aaseb ka dunya se gilaa hum ne kiya,

Dil ke aaseb ka dunya se gilaa hum ne kiya, Shauq se khud ko giraftaar-e-balaa hum ne kiya !! Aik hi khaab toh aa'nsoo ki tarah aa'nkh mei'n tha, Khaak-e-dil ! tu hi bataa,uss-ka bhi kyaa hum ne kiya ? Jab duaa di usay ,alfaaz sab apne bartay, Iss bhalaaee mei'n ye thoda-sa buraa hum ne kiya. Yaad-si cheez koee laa-ke shafaq per rakh-dee, Shaam ko shaam se iss-tarh'a judaa hum ne kiya. Kaash, ek ghum bhi ho aisa,ke kabhi jis se kahei'n ! Dil ki zanjeer se,  jaa , tujh-ko rihaa hum ne kiya .

Ghubaar aan'kho'n pe yu'n hi chhaa gaya hai,

Ghubaar aan'kho'n pe yu'n hi chhaa gaya hai, Ke teri deeed ka pal aa gaya hai. Charaagho'n ne kuchh itni roshni dee, Sahar aayee, toh dil ghabraa gaya hai !! Tere jalwo'n ne itni der kar dee, Nazar ka aayina pathra gaya gai, Tera qissa toh ab mash'hoor hoga,  Meri ruswaai se takraa gaya hai. Meri tan'haai mei'n ab kya nahii'n hai ! Teri yaado'n ka mausam aa gaya hai !!

Tumhari yaado'n ko ilzaam dete rahte hai'n,

Tumhari yaado'n ko ilzaam dete rahte hai'n,  Qalam ke haath mei'n kucch kaam dete rahte hai'n. Jigar ko daagh,nazar ko saraab,dil ko fareb, Hum apne pyaaro'n ko in'aam dete rahte hai'n, Jo kaam kar na sakay uss ke ru-ba-ru jaa kar,  Ghazal ke she'r mei'n anjaam dete rahte hai'n. Dayaar-e-dil ko khulaa chhorh dete hai'n aksar , Guzarne waalo'n ko ilzaam dete rahte hai'n. Mitaatay rahte hai'n likh-likh ke tera ghum dil per, Azeeyato'n ko koee kaam dete rahte hai'n.

Har tarah hum-hi tere saath huye jaate hai'n,

Har tarah hum-hi tere saath huye jaate hai'n, Phir bhi hum-hi se sawaalat huye jaate hai'n. Kis ko fursat hai yahaa'n, jo tujhe soche din-raat, Ek hum hai'n ,tere din-raat huye jaate hai'n. Ek toh  hum-ne hi kum kar diya milna-julna, Aur kucch log bhi mohtaat huye jaate hai'n. Hijr ne ab-ke baras tai kiye lamhe kya-kya, Faasle bazm-e-mulaqaat huye jaate hai'n. Aankh ko kya kisi manzer pe bharosa na raha? Khaab sab nazr-e-kharabaat huye jaate hai'n.

Yeh kaisa rishta charagho’n ka teergi se tha,

Yeh kaisa rishta  charagho’n ka teergi se tha, Ke har suraagh tera meri gumrahi se tha, Yeh saare shahar mei’n kaisa ghubaar phaila hai, Mai’n TooT TooT ke bikhra to khamashi se tha, Woh aik lamha jo tohfe mei’n laaye they kal log, Woh aik lamha bhi meri zindagi se tha, Woh khushnaseeb they,ik doosre ke dushman they, Mera muqaabla har morh par mujhi se tha, Tumhari di hui ukta hato’n ka kya kahna, Mai’n raat khul ke baghal geer zindagi se tha, Meri ana se jo “Shahid” ubharne waala tha, Dara dara mai’n kitna us aadmi se tha.

Nayee ek aur haqeeqat banaane waala hoo'n,

Nayee ek aur haqeeqat banaane waala hoo'n, Mai'n usko khwaab samajh-kar bhulaane waala hoo'n. Jo mera jhoot tha, mujhko kharaa samajhta thaa, mai'n jiska sach hoo'n ,usay aazmaane waala hoo'n. Anaa ki jung, khirad ka kha'ndar, junoo'n ke charaagh, Mai'n iss mahaaz pe sab-kuchh lutaane waala hoo'n. Kisi ki yaad bhi kitne hujoom rakhti hai !! Akela ra'h ke mai'n saare zamaane waala hoo'n. Kisi ke paas rahoo'n toh, kisi ki yaad aaye, Mai'n abki-baar ye ghum bhi uthaane waala hoo'n,

Zard patto’n ke tasawwur se dari rahti hai,

Zard patto’n ke tasawwur se dari rahti hai, Dil ke gulshan mei’n koi sabz pari rahti hai, Mausame dard mei’n har perh bikhar jata hai, Aik ummeed ki who shaakh hari rahti hai, Waqt kid hoop tapish laakh ugaale dil per, Aik gosha mei’n magar thorhi tari rahti hai, Dil who pat-ther hai jo har maujk saha karta hai, Ghum who naddi hai jo har waqt bhari rahti hai, Fikre mahboob,ghume duniya,khayaale masjood, Be khudi aise masael se bari rahti hai, Toot Ta rahta hai kamre mei’n andhera “Shahid”, Dhoop deewar ke us paar dhari rahti hai.

Qusoor ye hai, ke likhtaa hoon baar-baar wohi,

Qusoor ye hai, ke likhtaa hoon baar-baar wohi,  Wo haal-e-dil hai mera, toh hazaar baar wohi.  Wo zard khushboo yaheen per, kaheen khadi hogi, Ye kis-ne chhed diya qissa-e-bahaar wohi? Yahaan-ki mitti mere paaon kyun nahin kasti?  Wohi dareechae-jaana'n,dayaar-e-yaar wohi. Usay ke shahr-e-sadaa mein bhi hai sukoo'n kitnaa? Yahaan toh ghuncha bhi chatke toh inteshaar wohi.

Haa’n hume 'Meer'ka deewan nahi’n hona hai,

Haa’n hume 'Meer'ka deewan nahi’n hona hai, Aap-se mil-ke pareesha’n nahi’n hona hai. Hum ke khud apne liye, apni anaa-se khelei’n, Unki tafreeh-ka samaa’n nahi’n hona hai. Khairiyat chaahne-walon mei’n teri yaad ka zikr? Bharee mehfil mei’n bayaaba’n nahi’n hona hai. Laakh ummeed khilaati rahe aankho’n mei’n gulaab, Iss samundar-ko gulistaa’n nahi’n hona hai.

Nahii ke kishtiye wahshat mei'n baadbaan nahii

Nahii ke kishtiye wahshat mei'n baadbaan nahii malal yeh hai ke sahil pe woh makaam nahii khaii pe hoga koi chaand ham ko kya maaloom hamara kamre kii khirkii mei'n aasmaan nahii hawa ke rukh pe lawe'n muttahid nahii warna abhi chirago'n mei'n aisa nahii ke jaan na hii na iski aankh mei'n moti na mere khawb mei'n jheel tamasha ab ke baras koii darmiyaa'n nahii ise mai'n sonchoo'nga aur dil ko kuchh nahii hoga yaqeen yoo'n hai ke ab ke koii gumnam nahii

Chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa,

Chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa, ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa, milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii, usne magar bichhaRte vaqt aur savaal kar diyaa, ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii, ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa, ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir, baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal  kar diyaa, mumkinaa faisloN meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa, hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa, (mumkinaa : possible) mere laboN meN muhr thii par mere shiisha-ruu ne to, shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa, chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake, vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa, muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa, mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa. (mansab-e-dilbarii : throne of love)

Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam,

Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa mausam, bichhaR gayaa tirii suurat, bahaar kaa mausam, ka’ii rutoN meN mire niim-vaa dariichoN meN, Theher gayaa hai tire intizaar kaa mausam, vo narm lehje meN kuchh to kahe,yaa lauT aaye, sama’atoN kii zamiiN par phuaar kaa mausam, payaam aaye haiN, phir eik sar-e-qaamat ke, mere wajod ko khaiNchay hai daar kaa mausam, vo aag hai ke merii poor poor jalti hai, mere badan ko milaa hai chanaar kaa mausam, rafaaqatoN ke naye khwaab khushnuma haiN, magar, guzar chukaa hai tire aitbaar kaa mausam, havaa chalii to nayii baarisheN bhii saath aayiiN, zamiiN ke chehre pe aayaa nikhaar kaa mausam, vo meraa naam liye jaaye aur maiN uss kaa naam, lahuu meN guuNj rahaa hai pukaar kaa mausam, qadam rakhe mirii Khushbuu, ke ghar ko lauT aaye, ko’ii bataaye mujhe kuu-e-yaar kaa mausam, vo roz aa ke mujhe apnaa pyaar pehnaaye, mera Ghuruur hai bailay ke haar kaa mausam, tire tareeq-e-mohabbat pe baarhaa sochaa, ye jabr thaa ke tir...

Harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai,

Harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai, baab ek aur muhabbat kaa khulaa chaahtaa hai, (harf-e-taazaa : fresh words; baab : chapter) ek lamhe kii tavajjoh nahiiN haasil uskii, aur ye dil ke use hadd se sivaa chaahtaa hai, ek hijaab-e-tah-e-qiraar hai maane varnaa, gul ko maaluum hai kyaa dast-e-sabaa chaahtaa hai, ret hii ret hai is dil meN musaafir mere, aur ye sehraa teraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai, yahii Khamoshii ka’ii rang meN zaahir hogii, aur kuch roz ke vo shoKh khulaa chaahtaa hai, raat ko maan liyaa dil ne muqaddar lekin, raat ke haath pe ab ko’ii diyaa chaahtaa hai, tere paimaane meN gardish nahiiN baaqii saaqii, aur tere bazm se ko’ii uThaa chaahtaa hai.

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte,

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte, shaam ke vaqt safar kyaa karte, terii masruufiyateN jaante the, apne aane kii Khabar kyaa karte, (masruufiyateN : engagements) jab sitaare hii nahiiN mil paaye, le ke ham shams-o-qamar kyaa karte, (shams-o-qamar : Sun and the Moon) vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa, saaye phailaa ke shajar kyaa karte, (shajar : tree) Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii, kar  ke zarre ko gauhar kyaa karte, (Khaak : dust; avval-o-aaKhir : in the beginning and the end; zarre : particles; gauhar : jewels) raaye pehle se hii banaa lii tune, dil meN ab ham tere ghar kyaa karte, ishq ne saare saliiqe bakhshe, husn se kasb-e-hunar kyaa karte, (saliiqe : etiquettes)

Kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye

Kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye paanii ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye har baar eDiiyon pe giraa hai meraa lahuu maqtal men ab ba-tarz-e-digar jaanaa chaahiye kyaa chal sakenge jin kaa faqat mas'laa ye hai jaane se pahale rakht-e-safar jaanaa chaahiye saaraa jvaar-bhaataa mere dil men hai magar ilzaam ye bhii chaand ke sar jaanaa chaahiye jab bhii gaye azaab-e-dar-o-baam thaa vahii aaKhir ko kitanii der se ghar jaanaa chaahiye tohamat lagaa ke maan pe jo dushman se daad le aise sukhanfarosh ko mar jaanaa chaahiye

Puuraa dukh aur aadhaa chaand

Puuraa dukh aur aadhaa chaand hijr kii shab aur aisaa chaand itane ghane baadal ke piichhe kitanaa tanhaa hogaa chaand merii karavat par jaag uthe niind kaa kitanaa kachchaa chaand seharaa seharaa bhatak rahaa hai apane ishq men sachchaa chaand raat ke shaayad ek baje hain sotaa hogaa meraa chaand

Khulegii is nazar pe chashm-e-tar aahistaa aahistaa

Khulegii is nazar pe chashm-e-tar aahistaa aahistaa kiyaa jaataa hai paanii men safar aahistaa aahistaa koii zanjiir phir vaapas vahiin par le ke aatii hai kathin ho raah to chhutataa hai ghar aahistaa aahistaa badal denaa hai rastaa yaa kahiin par baith jaanaa hai ki Thakataa jaa rahaa hai hamsafar aahistaa aahistaa Khalish ke saath is dil se na merii jaan nikal jaaye khinche tiir-e-shanaasaaii magar aahistaa aahistaa huaa hai sarkashii men phuul kaa apanaa ziyaan, dekhaa so jhukataa jaa rahaa hai ab ye sar aahistaa aahistaa merii sholaamizaajii ko vo jangal kaise raas aaye havaa bhii saans letii ho jidhar aahistaa aahistaa

Kariyaa-e-jaan men koii phuul khilaane aaye

Kariyaa-e-jaan men koii phuul khilaane aaye vo mere dil pe nayaa zaKhm lagaane aaye mere viiraan dariichon men bhii Khushbuu jaage vo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye us se ik baar to ruuthuun main usii kii maanind aur merii tarah se vo mujh ko manaane aaye isii kuuche men kaii us ke shanaasaa bhii to hain vo kisii aur se milane ke bahaane aaye ab na puuchhuungii main khoye hue Khvaabon kaa pataa vo agar aaye to kuchh bhii na bataane aaye zabt kii shahar-panaahon kii mere maalik Khair Gham kaa sailaab agar mujh ko bahaane aaye

Wo jisko ishq zamane se ,aasmaan se tha.

Wo jisko ishq zamane se ,aasmaan se tha. ajeeb baat thi khayef wahi udaan se tha. jise suna ke wo mash,hoor ho gaya har su. wo waqeyaa to hamari hi daastaan se tha. nibhai sirf na maujon ne rasm sadiyoN ki . hawaa-e-tund ka rishta bhi baadbaan se tha. samet li thinn nigahoN ne dooriyaaN sari agarche door mera ghar tere makaan se tha. bana hua hai wahin pe mazaar rishtoN ka .. jo raasta kabhi aangan ke darmiyaan se tha.

KITNA MUSHKIL HAI TAMANNA KA SAFAR DEKH CHUKE..

KITNA MUSHKIL HAI TAMANNA KA SAFAR DEKH CHUKE.. ZINDIGI TERI HAR IK RAAHGUZAR DEKH CHUKE.. KAISE BANTE HAIN BIGARTE HAIN MOQADDER HAI PAL. YE TAMASHA BHI TO HAM SHAM-O-SAHAR DEKH CHUKE. AB CHUKATE HAIN WO HAR SAANS KI QEEMAT JAISE . WO JO DAMAN MEN KABHI SHAMS-O-QAMAR DEKH CHUKE. KAR KE TAMEER MOHABBAT KA HASEEn TAJ MAHAL. KAISE LAGTI HAI ZAMANE KI NAZAR DEKH CHUKE. APNE ASHKON KI LAGAKAR YAHAN QEEMAT "ARIZ" KITNE NAYAAB HAIN YE LAL-O-GOHAR DEKH CHUKE.

TU NAYE TO TOOT JAUNGA.........

TU NAYE TO TOOT JAUNGA.........  SURMAI SHAM DILNASHEEn MANZAR. SHABNAMI SI FAZA QATAAR-E-SHAJAR. AUR PARCHAYIAn FAREB-E-NAZAR. TUM NA ATE TO TOOT JAUNGA. TANZ KARTI HAI MUJH PE MERI WAFA. WAQT DENE LAGA HAI JAISE SAZA. KHO NA JAYE KAHIN MERI YE SADA. TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA. DIN SULAGTA HAI SHAM JALTI HAI. HASRAT-E-TISHNAKAM JALTI HAI. SHAMMA YADON KE NAM JALTI HAI. TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA. SISKIYAn LE RAHI HAI SHAM-E-ALAM. HAR NAFAS PAR HAIN AANSUON KE SITAM LADKDANE LAGE HIN MERE QADAM TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA...........................

Zindagi tujh ko manaane nikle

Zindagi tujh ko manaane nikle Ham bhi kis darja diwaane nikle Kuch to dushman the mukhalif saf mein Kuch mere dost puraane nikle Be-basarat hai ye basti yaaron Aaina kis ko dikhaane nikle In andheron me jiyoge kab tak Koi to shamma jalaane nikle

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai.

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai. Ye Dil K Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai. Ye Sheher Kisi Aaina Kirdaar Badan Par. ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai. Ik Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be- Khwaab. Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai. Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain Firozaan. Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai. Is Umar K Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal. Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai.. Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare. Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai