Skip to main content

ye sannaaTaa bohat mahangaa paDegaa

ye sannaaTaa bohat mahangaa paDegaa
use bhii phuuT kar ronaa paDegaa

vaahii do chaar chehre ajnabii se
unhiiN ko phir se dohraanaa paDegaa

koii ghar se nikaltaa hii nahiiN hai
havaa ko thak ke so jaanaa paDegaa

yahaaN suuraj bhii kaalaa paD gayaa hai
kahiiN se din bhii mangvaanaa paDegaa

voh achche the jo pahle mar gaye haiN
hameN kuchh aur pachhataanaa paDegaa

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.