kis terah kaayinaat main tanha hua hoon main

kis terah kaayinaat main tanha hua hoon main
har manzil e hayat pe bikhra hua hoon main

laaon kahan se ab wo samander ki wussa'ten
muddat se apni zaat main simta hua hoon main

mushkil nahin hoon itna samjh main na aa sakoon
her chund apne aap se uljhaa hua hon main

ab yaad e raftagaan ki bhi fursat nahin mujhe
arse se apni yaad main khoya hua hoon main

her roz mere ser naye sooraj ka bojh ha
her raat apni aag main nikhra hua hoon main