Skip to main content

TU NAYE TO TOOT JAUNGA.........

TU NAYE TO TOOT JAUNGA......... 

SURMAI SHAM DILNASHEEn MANZAR.

SHABNAMI SI FAZA QATAAR-E-SHAJAR.

AUR PARCHAYIAn FAREB-E-NAZAR.

TUM NA ATE TO TOOT JAUNGA.

TANZ KARTI HAI MUJH PE MERI WAFA.

WAQT DENE LAGA HAI JAISE SAZA.

KHO NA JAYE KAHIN MERI YE SADA.

TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA.

DIN SULAGTA HAI SHAM JALTI HAI.

HASRAT-E-TISHNAKAM JALTI HAI.

SHAMMA YADON KE NAM JALTI HAI.

TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA.

SISKIYAn LE RAHI HAI SHAM-E-ALAM.

HAR NAFAS PAR HAIN AANSUON KE SITAM

LADKDANE LAGE HIN MERE QADAM

TUM NA AYE TO TOOT JAUNGA...........................

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.