Skip to main content

hamse bhaagaa na karo duur GhizaaloN kii tarah

hamse bhaagaa na karo duur GhizaaloN kii tarah
hamne chaahaa hai tumheN chaahne vaaloN kii tarah


Khud-ba-Khud niind sii aaNkhoN miiN ghulii jaatii hai
mahkii mahkii hai shab-e-Gham tere baaloN kii tarah


tere bin raat ke haathoN pe ye taaroN ke ayaaGh
Khuubsuurat haiN magar zeher ke pyaaloN kii tarah


aur kyaa is se zyaadah koii narmii bartuuN
dil ke zaKhmoN ko chhuaa hai tere gaaloN kii tarah


gungunaate hue dar aa kabhii in siinoN meN
terii Khaatir jo mahakte haiN shivaaloN kii tarah

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.