Skip to main content

tamannaa kaa sar yuuN utaaraa gayaa

tamannaa kaa sar yuuN utaaraa gayaa
har ek biich raste meN maaraa gayaa

maiN kis kis kii aavaaz kii par dauDtaa
mujhe chau-taraf se pukaaraa gayaa

vahaaN zaKhm par baat hii kab huii
faqat aaNsuoN ko shumaaraa gayaa

havas thii use merii har chiiz kii
magar mujhse sab kuchh na haaraa gayaa

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.