aankhon main kis saraab k manzar hain in dinon

aankhon main kis saraab k manzar hain in dinon
hum hud e aitbaar se baahir hain in dinon 

bikhre huay hain shehar k raston pe misl e khaak 
yaani hawa k rehm o karam pe hain in dinon

baahir hi nahin nikalte mubaada malaal ho 
hum is liye makaan k ander hain in dinon

lab izn e guftugoo ko taraste hain aaj kal
ronay main donon aankhain samander hain in dinon

nazaargi k zakhm hain aur rahguzaar e shehar
goya halaak rasm e sitamgar hain in dinon

kiya or tum se khul k kahain apna haal e zaar 
mayoosi or umeed barabar hain in dinon