Na ravaa kahiye na sazaa kahiye

Na ravaa kahiye na sazaa kahiye
kahiye kahiye mujhe buraa kahiye

dil me’n rakhane kii baat hai Gham-e-ishq
is ko hargiz na barmalaa kahiye

vi mujhe qatl kar ke kahate hai’n
maanataa hii na thaa ye kyaa kahiye

aa gaii aap ko masihaaii
marane vaalo ko marhabaa kahiye

hosh udane lage raqiibo’n ke
"Daagh" ko aur bevafaa kahiye