Skip to main content

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte,

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte,
shaam ke vaqt safar kyaa karte,

terii masruufiyateN jaante the,
apne aane kii Khabar kyaa karte,
(masruufiyateN : engagements)

jab sitaare hii nahiiN mil paaye,
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte,
(shams-o-qamar : Sun and the Moon)

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa,
saaye phailaa ke shajar kyaa karte,
(shajar : tree)

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii,
kar  ke zarre ko gauhar kyaa karte,
(Khaak : dust; avval-o-aaKhir : in the beginning and the end; zarre : particles; gauhar : jewels)

raaye pehle se hii banaa lii tune,
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte,

ishq ne saare saliiqe bakhshe,
husn se kasb-e-hunar kyaa karte,
(saliiqe : etiquettes)

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.