rukii rukii sii shab-e-marg Khatm par aaii
voh pau phaTii, voh naii zindagii nazar aaii
ye moR voh hai ki parchhaaiyyaaN bhii dengii na saath
musaafiroN se kaho, uskii rahguzar aaii
fizaa subah-e-tabassum-e-bahaar thii lekin
pohaNch ke manzil-e-jaanaaN pe aaNkh bhar aaii
kahaaN har ek se insaaniyat kaa baar uThaa
ki ye balaa bhii tere aashiqoN ke sar aaii
zaraa visaal ke baad aaiinaa to dekh aye dost!
tere jamaal kii doshiizgii nikhar aaii