sar meN saudaa bhi nahiiN, dil meN tamannaa bhi nahiiN

sar meN saudaa bhi nahiiN, dil meN tamannaa bhi nahiiN
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosaa bhii nahiiN


dil ki gintii na yagaanoN meN, na begaanoN meN
lekin us jalva-gaah-e-naaz se uThtaa bhii nahiiN


meherbaanii ko mohabbat nahiiN kahte aye dost
aah ab mujhse terii ranjish bejaa bhii nahiiN


aah ye majma-e-ahbaab, ye bazm-e-Khamosh
aaj mehfil meN Firaaq suKhan-aaraa bhii nahiiN