Skip to main content

Suna Hay Barish Usay Bhi Pasand Hay



Suna Hay Barish Usay Bhi Pasand Hay
Wo Bhi Meri Tarhan Barasti Bundon Ko Hathon May Samayt Leti Hay
Suna Hay Phool Usay Bhi Pasand Hain
Wo Bhi Meri Tarhan Phoolon Say Ghanton Batain Karti Rehti Hay
Suna Hay Chand Usay Bhi Pasand Hay
Wo Bhi Meri Tarhan Raat Raat Bhar Usay Takti Rehti Hay
Suna Hay Tanhai Usay Bhi Pasand Hay
Wo Bhi Meri Tarhan?????.
Par Wo Tanha Beth Kar Kis Ko Sochti Hay?
Sari Batain Sachi Hain Magar
Ye Bhi Sach Hay
Main Jo Uss K Baray May Har Baat Ki Khabar Rakhta Hon
Ye Bhi Janta Hon K Uss Ki Sochon Ka Mahwar Main Nahi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.