Wo mulaqaat , mulaqaat se aage n badhi
hai ! wo baat , faqat baat se aage n badhi
baat hoti to khayalaat bhi mil jaate magar
baat ik-tarfa khayalaat se aage n badhi
be-qarari thhi ajab , jisme thha poshida qaraar
be-qaraari bhi, shuruaat se aage n badhi
kya khabar hoti,ke kya rang hai, kya mausam hai
zindagi gardish-e-haalaat se aage n badhi
mausm-e-gul bhi thha yu`n to, nazar aaya n magar
rut meri aankho`n ki barsaat se aage n badhi
zehn bhi chaal zamaane ki kabhi chal n saka
dil ki raftaar bhi jazbaat se aage n badhi
laakh chahaa ki musarrat pe kahu`n koi ghazal
ye zuba`n dard ke naghmaat se aage n badhi
wo sawalaat-e-musalsal hi thhe mubham`kausar`
zindagi chand jawaabaat se aage n badhi