Skip to main content

Harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai,

Harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai,
baab ek aur muhabbat kaa khulaa chaahtaa hai,
(harf-e-taazaa : fresh words; baab : chapter)

ek lamhe kii tavajjoh nahiiN haasil uskii,
aur ye dil ke use hadd se sivaa chaahtaa hai,

ek hijaab-e-tah-e-qiraar hai maane varnaa,
gul ko maaluum hai kyaa dast-e-sabaa chaahtaa hai,

ret hii ret hai is dil meN musaafir mere,
aur ye sehraa teraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai,

yahii Khamoshii ka’ii rang meN zaahir hogii,
aur kuch roz ke vo shoKh khulaa chaahtaa hai,

raat ko maan liyaa dil ne muqaddar lekin,
raat ke haath pe ab ko’ii diyaa chaahtaa hai,

tere paimaane meN gardish nahiiN baaqii saaqii,
aur tere bazm se ko’ii uThaa chaahtaa hai.


Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng