Skip to main content

Khush huun ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa

Khush huun ki meraa husn-e-talab kaam to aayaa
Khaalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa

kaafii hai mere dil ki tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa

apanon ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath
duniyaa men koii dost mere kaam to aayaa

wo subah kaa ehasaas ho yaan merii kashish ho
Duubaa hua Khurshiid sar-e-baam to aayaa

log un se ye kahate hain ki kitane hain "Shakeel" aap
is husn ke sadaqe men meraa naam to aayaa

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng