Skip to main content

Wo jisko ishq zamane se ,aasmaan se tha.

Wo jisko ishq zamane se ,aasmaan se tha.
ajeeb baat thi khayef wahi udaan se tha.


jise suna ke wo mash,hoor ho gaya har su.
wo waqeyaa to hamari hi daastaan se tha.


nibhai sirf na maujon ne rasm sadiyoN ki .
hawaa-e-tund ka rishta bhi baadbaan se tha.


samet li thinn nigahoN ne dooriyaaN sari
agarche door mera ghar tere makaan se tha.


bana hua hai wahin pe mazaar rishtoN ka ..
jo raasta kabhi aangan ke darmiyaan se tha.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng