Skip to main content

Sawan Ki Hawaon Mein Zakhm Jag Uthtey Hain

Sawan Ki Hawaon Mein Zakhm Jag Uthtey Hain
Shehar-E-Dil Ki Fizaaon May Alm Jag Uthtey Hain

Surgazisht Likhney Ko Jab Bhi Kagaz Uthata Hon
Khiyal Ki Zameenon May Talatum Jag Uthtey Hain

Baazecha-E-Atfaal May Nanhey Nanhey Phool Mehakte Dekhon Tu
Dard Key Sehraaon May Marhan Rog Bantey Hain

Meri Basti May Kabhi Mehfilain Saja Karti Thein
Khoon-E-Insan Ki Khusboun Se Ab Sar-E-Sham Soog Biliktey Hain

Ghar Se Nikalna Chaho Tu Ujaalon May Hi Nikalna
Meray Arz-E-Pak Ki Galiyun May Har Sham Naag Nikaltey Hain